India me is time par normal bank ki tarh hi payment bank ke account bhi open ho rahe hai. or log apna account payment bank me open isliye kara rahe hai. kyoki jo Commercial bank hote hai unki Branch jadatar cities ke alwa urban area me bhi hoti hai. aur private bank to rural area me hote hi nahi hai. Airtel payment bank csp registration ke bare me aapko sab kuch isi post me pata chalega.
Airtel Payments Bank CSP Agent
Commercial Banks or Payment bank me yadi antar ki baat kare to payment bank saving aur current account to open kar sakte hai lekin kisi ko Loan or Credit card issue nahi kar sakte hai.

India me 8 se adhik Payment bank hai aur usme se desh ki sabse badi telecom company ne Airtel payment bank ke liye license ke liye apply kiya or RBI ne 11 April 2016, ko airtel ko payment bank ka license diya aur airtel aisa pahla payment bank hai jisko sabse pahle payment bank ka license mila.
Airtel Payment Bank CSP kya hai
jaise har ek banka ka CSP yani customer service point jise hum BC ya kiosk Bank kahte hai usi trah aap bhi apni shop par Airtel payment bank csp agent ban sakte hai. aur apni shop par logo ko basic banking services de sakte hai.
yah paytm bc agent ki trah hi work karta hai.
aur iske badle aapko airtel payment bank csp commission milega jiske bare me mai aapko aage isi article me btaunga.
Airtel Payment Bank CSP kholne ke fayde
Airtel payment bank CSP Kholne par aapko Shop Board milega aur aapko Flange, Compliance Poster, Wall compliance Unit bhi milega jis se aapke customer ko yah pata chalega ki aap airtel payment ka kaam karte hai.
aur apke customer uske bare me aapse poochege. aur aap unhe iske bare me bata sakte hai. Airtel payment bank ka csp banne ke baad aap apni shop par cutomer ke Bank account open kar sakte hai.
aur ye bnak account aapko 5 minute me mil jayega. iske liye aaapke customer ko 50Rs ka Account opening charge pay karna hoga. pahle yah charge nahi liya jata tha lekin ab yah account opening charge lagta hai.
aur account open karne par aapko 35Rs commision milta hai. aur yadi aap apne customer ka Pan card bhi link kar dete hai to aapko 10Rs extra commission milega.
aapke customer ko virtual debit card bhi milega jise wo online kahi bhi use kar sakte hai. is account me aap DBT bhi le sakte hai yani Goverment se jo subsidy milti hai wo bhi aap is account par le sakte hai.
Airtel Payment bank csp service list
Airtel payment bank agent hone ke baad aap ye service’s apne customer ko de sakte hai.aapko airtel payment bank retailer portal me ye service milegi
- Add Balance
- Money Transfer
- Cash Drop
- Cash Deposit
- AEPS
- MOBILE, DTH RECHARGE
- Account opening
- Shop Insurance
- Atal Pension Yojna(APY)
- Personal Accident cover

is trah ki kafi services’ milegi jo aap apne customer ko de payege. aur aapko kuch is trah ka dashboard dikhai dega
Airtel payment bank CSP documents required
airtel payment ka csp lene ke lye aapki age 18-year se adhik honi chahaiye aapne kam se kam 10th pass ki honi chahiye aur aapke pass Aadhar Card or Pan card bhi hona chahiye.
ye sare document’s ke bina aap airtel payment ka csp nahi ban sakte hai. aur yadi aapke pass IIBF ka BC certificate hai to iska bhi aap use kar sakte hai halaki abhi yah jaruri nahi hai.
Airtel payment bank csp Lapu Sim
Airtel payment bank csp ka kaam karne ke liye aapke pass ek airtel ka lapu sim hona chahiye. or yadi aap yah soch rahe hai ki yah lapu sim kya hai to airtel ke sath jab aap kisi bhi trah ka work karte hai. to aapko airtel dwara lapu sim diya jata hai.
yah normal sim ki trah hi hota hai. yadi aap airtel ke sath sim activation ka bhi work karte hai. to aapko lapu sim ki jarurat padti hai.
Airtel Payment Bank csp Elegiblity
wese to isme bahut kuch eligibility nahi hoti hai par apki age 18 saal se adhik honi chahiye aapke upar kisi bhi trah ka legal case nahi hona chahiye aur aape pass ek shop hona jaruri hai. tabhi aapko Airtel payment bank agent ke liye onboard kiya jayega.
Airtel CSP Commission Chart
Commission on BBPS New
Bill Category | Slab | Retailer Commission |
---|---|---|
LPG Gas | Per Transaction | Rs. 1 |
Municipal Taxes & Services | <=Rs 5000 | Rs. 1 |
>Rs 5000 | Rs. 2 | |
Fastag Recharges | on amount | 0.15% |
Credit card | No of txn-1 | Rs. 2 |
Cable | No of txn-1 | Rs. 2 |
Housing Society | <=Rs 10000 | Rs. 2 |
10-49.9K | Rs. 5 | |
>=Rs 50K | Rs. 10 | |
Hospital | <=Rs 10000 | Rs. 2 |
10-49.9K | Rs. 5 | |
>=Rs 50K | Rs. 10 | |
Clubs & Associations | <=Rs 10000 | Rs. 2 |
10-49.9K | Rs. 5 | |
>=Rs 50K | Rs. 10 | |
Subscription Fees- Digital, OTT, Offline | < Rs 250 | 0 |
251-500 | Rs. 1 | |
>Rs 500 | Rs. 2 | |
Loan EMI | On amount | 0.15% |
Insurance | Rs.100 – Rs.5000 | Rs. 2 |
>Rs 5000 | Rs. 5 |
Cash Withdrawal Commission
0.15% on transaction amount
Cash Drop Commission
(Pay-out – T+1 except #)
CUSTOMER MODEL – Swiggy, Ola and Zomato will also be a part of customer model.
1. Retailer Base Commission: 0.15%
2. Incremental commission as highlighted in the table. The incremental commission will go Manually.
3. Arohan not included in customer model scheme
Throughput | Commission (in %) |
---|---|
<75,000 | 0.15% |
>=75,000 | 0.15%+0.05%=0.20% |
>=300,000 | 0.15%+0.10%=0.25% |
Agent Model Commission : 0.12% (except the below)
♦ – Ujjivan Agent, DCB Bank, Samasta, Delivery, Equitas, Cholamandalam, Hinduja Leyland, Arohan,Shri Ram Transport Finance Agent, Hero Agent, Satya Micro Capital,Ecom :0.10%
♦ – TVS Credit, Xpressbees:0.13%
♦ – Udaan ( Cash Pickup ) :0.20%
♦ – LNT MFI :0.12%
♦ – Pathkind:0.20%
♦ – McD:0.15%
♦ – Flipkart & Myntra:0.09%
♦ – No Commission on Deutsche, Walmart and Metro Cash n Carry models
Cash Deposit Commission
0.12% : Upto Rs.5,00000/-
0% : 5,00000/- and above
Note:
No Payout beyond 5 Lakh Cash-in amount
*Above Values are monthly.
Airtel Payment bank csp setup
Airtel payment bank ke liye aapke pass ek mobile phone hona jaruri hai ya fir aap laptop par bhi work kar sakte hai. aur iske alwa aapko ek fingerprint device ki bhi jarurat padegi. to aap Mantra ki ye device purchase kar sakte hai..
ya fir aap Morpho ki ye device bhi purchase kar sakte hai. ye dono device aapke airtel payment bank csp ke alwa bhi inka use hota hai to aap in dono me se koi bhi device le sakte hai
Airtel csp Agent Registration process
airtel csp registration ke liye aapko apne najdiki Airtel Distributor se contact karna hoga. ya fir aap email karke bhi registration ke liye bol sakte hi aur uske baad aapko airtel ki team contact kar legi . halaki is process me kafi time bhi lagta hai.
aur yadi aapke area ke Distributor ka number aapke pass nahi hai to aap neeche diye gaye register ke button par click karke apna airtel mitra registration kara sakte hai.
pahle yah registration ki process airtel mitra see bhi ho jati this par ab mitra app see registration ki process band hai to aap khud se registration airtel mitra se nahi kar payege. aur upar diye link se ya distributor se aap airtel payment bank agent ban payege.
aur aap apne area ke airtel payment bank distributor number me call karke aur janakri le sakte hai.
Airtel csp customer account types
Airtel payment bank par aap customer ke to filhal 4 trah ke account open kar sakte hai. aur in account ke alag alag benefits hai jo aap aapke customer ke account unki jarurat ke hisab se open kar sakte hai.
Normal Saving Account
yah bank account aapka zero balance account hoga isme aapko koi bhi balance rakhna jaruri nahi hoga. is account me aapko 6%interest rate bhi milega. saath hi isme aapko personal accident cover bhi milega jiski value Lakh hogi.
saath hi aapko virtual debit card bhi milega jiska koi bhi charge nahi hoga.

Bharosa Saving Account
is account par aapko 500Rs monthly balane rakhna jaruri hoga aur isme aapko 5 Lakh ka insurance bhi milega.
Rewards123 Saving Account
isme aapko kuch reward milege aur aapko iska subscription lena hoga.
Rewards Mini Saving Account
yah ek reward account hai isme bhi aapko insurance ke saath subscription ke charge dene hoge par ye subscription charge aapse Quarterly liye jayege.
Conclusion
Airtel payment bank agent yadi aapke pass shop hai to aap ise bilkul le sakte hai aur logo ko basic banking service de sakte hai.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul