dosto kya aapne kabhi socha hai apne naam ki ringtone kaise banaye aur aap ye janna chhate hai ki aakhir ye kaise hota hai aur ise kaise banaya jaata hai.

aapne kabhi na kabhi kisi ke phone me is trah ki ringtone jarur suni hogi jaise Ram aapka Phone baj raha hai uhta lijiye ram please pickup the phone ye ringtone aapko khud se banani hoti hai aur inko banana bahut hi asan hai .
wese apne naam ki ringtone ke banane ke liye internet me bahut sari website hai aur iske alwa bahut sari android app bhi hai jinke baare me hum isi post me baat karege.
apne naam ki ringtone kaise banaye
jaisa ki aapko bataya iske liye bahut sari website hai lekin bahut sari website me trah trah ke advertisement aate hai jisse user experience aapka khrab na ho iske liye hum aapko ek bahut hi popular website ke ki madad se apne naam ki ringtone banana batayege.
1 Prokerala
kisi bhi trah ki ringtone aur khaskar apne naam ki ringtone banae a Prokerala bahut hi popular platform hai aur isme ringtone banana baki website’s ki trah kathin nahi hai balki bilkul easy hai to dekhte hai ise kaise use karna hai.

sabse phale aapko prokerala ki website par jana hoga aap yaha par click karke direct pahuch sakte hai iske baad aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.
yaha par ringtone banane ke 3 Step hai pahle aapko apna naam dalna hoga aur uske baad step 2 me aaap text message me aapko text drop down menu se select karna hai aur step 3 me yah kis trah ka music hai aapko select karna hai isme aap Alarm bhi rahne de sakte hai.
2 FDMR
is Website ka naam FDMR(free download mobile ringtones) hai to sabse phale aapko FDMR ki website par jana hoga, FDMR ki webiste me jaane ke liye yaha Click kare.
aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega jo FDMR ka Homepage hoga. yaha par aapko bahut sare option dikahi dege.

Request Ringtone : yaha par Click karke aap apne naam ya apne pasand ka ringtone ko Request kar sakte hai.
Search Ringtone: yaha par click karke aap apne naam ki ringtone ko search kar sakte hai aur fir apne naam ki ringtone ko download kar sakte hai.
yadi aapko apene naam ki ringtone search karne par mil jati hai to aap use download kar sakte hai lekin yadi aapko apne naam ki ringote ya apkp apne pasnd ki ringtone nahi milti to aapko Request Ringtone par click karna hai
uske baad aapke saamne ye page dikhai dega jisme kuch instructions likhe huiye hai inhe aapko follow karna hoga aur unki team se apni ringtone ke liye request karna padega

yah karne ke baad aapko ringtone aapke facebook me mil jaygei, halaki isme thodi sa time jarur lag sakta hai.
Conclusion
dosto yah post padhne ke baad aap samjh gaye hoge ki apne naam ki ringote kaise banaye aur yah kitna ashan hai yadi yah post aapko acchi lagi to apne dosto ke saath bhi share kariye aur hame comment karke jarur bataiye.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul
very nice info thanks for this