fiverr se paise kaise kamaye, fiverr kya hai

Hello dosto aapne fiverr ka naam suna hai yadi aapne fiverr ka naam suna hai to aap kya yah jante hai ki fiverr se paise kaise kamaye yadi aap freelancing par apna carrier bana chahte hai to aapko fiverr ke bare me jarur pata hona chahiye kyoki yah aapki revenue ko bahut jada badha dega.

fiverr se paise kaise kamaye
fiverr se paise kaise kamaye

fiverr me aap apni dukan bana sakte hai wo bhi free me aur aap apni un services ko sell karke paise kama sakte hai aur yah aap apne desh se bahar bhi kar sakte hai.

fiverr kya hai

Fiverr ek freelancing website hai jo ki bahut hi popular website hai yadi baat kare fiverr ki Alexa rank ki to iski Global Rank 393 hai jo ki bahut hi acchi hai. fiverr ek aisi website hai jiski madad se aap ghar bethe paise kama sakte hai aur iske liye aapko kahi bhi jane ki jarurat nahi hai.

aur isse bahut saare log accha paisa kama rahe hai. yadi ashan sabdo me kahe to aapko yaha par apni services ko sell karna hota hai aur uske badle me aapko paisa milta hai fiverr ka naam fiverr isliye pada kyoki isme koi bhi service 5$ ke neeche nahi hoti.

hai aur yah buyer aur seller ke beach connection banati hai. aur fiverr kya hai yah aap samjh gaye hoge. iske alawa yadi aap paytm se paise kamana chahte hai to aap yah post jarur padhe paytm se paise kaise kamaye jo ki aapke liye useful hogi.

fiverr se paise kaise kamaye

ab hm baat karte hai million dollor question ke bare me jiske liye aap yah post padh rahe hai ki fiverr se paise kaise kamaye iske liye aapke andar koi skill honi jaruri hai aur aap use acchi trah se kar sake tabhi aap fiverr se paise kama sakte hai.

fiverr se paise kamane ke liye aapke pass koi skill hai jisse ab aap paisa kamana chahte hai to chaliye dekhte hai iske liye ab aapko kaise register karna hai aur kaise fiverr account banana hai aur isme aap minimum 5$ tak kama sakte hai.

ab baat karte hai isi process ke bare me ki account kaise banate hai aur apni services ko kaise sell kar sakte hai. aru fiverr se freelancing karke log bahut sare paise bana rahe hai to aap bhi isme apna carrier bana sakte hai.

fiverr se paise kamane ke liye to aapko yah bhi pata rahna chahiye ki iske liye aapke pass kya kya hona jaruri hai aapke pass ek Debit Card hona jaruri hai jo international payment(India me Rupay card international payment ko support nahi karta hai) ko support karta ho.

aur aapke pass paypal account hona bhi jaruri hai tabhi aap payment le sakte hai.

Fiverr par account kaise banaye

Fiverr par account aap 2 tarike se bana sakte hai iske liye aap Fiverr android app se ya fiverr ki website se bana sakte hai play store me fiverr ke naam se bahut sari fake app hai isliye aapko original app ko hi download karna hoga aap neeche di gai app ko download kar sakte hai jo aapko play store par le jayegi aur udhar se aap download kar sakte hai.

  • sabse pahle aapko Fiverr ki website par jana hai uske baad aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.
fiverr par account kaise banaye
Fiverr Home page

jais hi aap Join ke button par click karege aapke saamne kuch is trah ka singup box dikhai dega jisme aap apne email account aur google account ki madad se signup kar sakte hai aur apna account bana sakte hai.

fiverr.com se paise kaise kamaye
Fiverr sign up

jaise hi aapka account ban jata hai aur aap apni gigs ko setup kar lete hai uske baad aapko apne liye order chahiye hoge tabhi aap earning kar sakte hai. aaap yah samjh gaye ki fiverr kya hai aur fiverr se paise kaise kamaye ab chaliye seekhte hai fiverr se paise kamane ke tarike ke baare me.

Fiverr se paise kamane ke tarike

fiverr par account to aapne bana liya aur aap yah bhi jaan gaye ki fiverr kya hota hai aur fiverr se paise kaise kamaye ab baat karte hai isse paise kamane ke best tariko ke baare me

Photo Editing se

yadi aap editing karte hai to aap photo editing karke accha paisa kama sakte hai aur aap jinti acchi editing karke apne customer ko dege wah aapke liye aur bhi sucess banayega fiverr me.

photo editing aajkal bahut i trend me hai. aapne Instagram par dekha hoga. desh ka yuva Instagram par photo upload karne ke liye hamesa hi aage rahta hai.

aur wah bhi photo editing aur apne followers badhane ke liye ready rahte hai isliye photo editing ek accha option hai.

Website deisgn karke

aapse website banana aata hai to isse aap bahut jada paisa kama sakte hai aur iske liye aapko website designing ke baare me accha knowledge hona jaruri hai.

website design ke liye India aur India se bahar bhi ek website designer ko accha kaam mil jata hai.

Voice Over karke

yah bhi bahut accha fiverr se paisa kamane ka tarika hai yadi aap accha voicer over kar sakte hai to aap isse bhi accha paisa bana sakte hai.

har kisi company ko apne advertisement me kai baar voice over ki jarurt padti hai tab wo voice over artist ko search karte hai.

Logo Design karke

yadi aapko Graphic ke baare me knowledge hai ya aap ek accha logo bana sakte hai to aap logo banakar bhi accha paisa kama sakte hai.

aur aapne kahi na kahi yah jarur padha hoga ki aap logo design karke accha paisa kama sakte ha. aur iske liye aapko professional logo banane ka knowledge hona chahiye.

Android App banakar

android app ki demand bahut jada aaj har ek brand aur company apni android app banana chahti hai aur isse aap accha paisa kama sakte hai.

Fiverr Gig Kaise Banaye

Fiverr par services dene ke liye aapko apni shop open karni hogi aur aapko apne product logo ko dikhana hoga kahne ka matlab hai ki aapko apni services dikhani hogi.

aur isi ko Gig kahte hai. fiverr kya hota hai yah janne ke baad Gig ko acchi traike se aapko banana jaruri hai aur use attrative bhi hona jaruri hai.

Gig banane ki process 6 Setps se hokar jaati hai jo ki aapko neeche dikhai dege.

Overview

yaha par aapko apni Gig ka Title dalna hota hai aur iske baad aapki Gig kaun si Category se hai yah aapko choose karna hota hai aur iske baad aapko tag dalane hote hai jisse search karne par aapki gig show ho.

fiverr gig kaise banaye
overview

aapko apni Gig ka Platform bhi select karna hoga. jisse aapko behtar result mile aur search ko filter karne me asani ho.

Pricing

Price aap kewal ek trah ki rakh sakte hai ya fir aap ise 3 package me bana sakte hai aur aapko service ek hi deni hai lekin isme kuch feature aap kam jada kar sakte hai. koi bhi service 5$ ke neeche nahi ho sakti hai. ise dhyan se bhare kyoki fiverr se paise kaise kamaye aapke main question ka answer yahi par hai.

fiverr paytment proof
Fiverr Gig Pricing

apni Gig ki price ko aap package me bhi bana sakte hai ya aap single bhi bana sakte hai. aur package me 3 trah ke ki price aur description de sakte hai.

Descripition & FAQ

yaha par aapko apni Gig ko details se likhna hota hai ki aap kya service de rahe hai ise detail’s se batana jaruri hota hai.

fiverr gig kaise banaye
fiverr gig description

Requirements

yaha par aapko apne buyer se quesiton karne hai jaise aapki service kisi ne kharidi to aapko usse us project ke related kaun kaun si details chahiye hai yah aapko fill karna hoga.

Gallery

aapne isse phale jo bhi kaam kiya hai usse related aap Photo Video daal sakte hai aur image aur video jarur daale.

Publish

apni sari details bharne ke baad aur use ek baar check karne ke baad aapko apni is gig ko publish karna hoga aur iske baad aapki yah gig fiverr me poori trah se live ho jayegi.

yadi aap Fiverr ke baare me aur bhi kuch janna chahte hai ya aap isme bikul naye hai to aap neeche diye gai ebook ko purchase kar sakte hai jo ki aapke bahut hi kaam aayegi aur yadi aap ebook me invest karege to aapko iska fyada jarur hoga.

Conclusion

fiverr kya hai aur isse paise kaise kamaye is baare me aapko yah post jarur pasand aai hogi. aur yadi aap ise acche se karte hai to acchi rating ke saath aap hmesa top seller bane rahege jisse aapko order milne ke chance bahut hoge.

trending Post

5/5 - (2 votes)
0 Shares

5 thoughts on “fiverr se paise kaise kamaye, fiverr kya hai”

Leave a Comment