Gadi ke number se malik ka naam pata kare

Dosto hm sabhi ke saath kabhi na kabhi aisa ho jata hai ki aapko kisi bhi vichle ke bare me jankari chahiye hoti hai aur aap sochte hai ki Gadi ke number se malik ka naam pata kare to isi bare me yah post hai.

gadi ke number se malik ka naam
gadi ke number se malik ka naam pata kare

kai bar koi insan kisi ka accident karke bhag jata hai aur kisi bhi vahan ka yadi accident ho jata hai to us coniditon me gadi ke malik ka naam pata karna jaruri hota hai.

kai bar aap koi second hand gadi kharidne ki soch rahe hote hai aur jise kharidne ka aapne plan bnaaya hai uske number ke dwara aap us gadi ki history ko jaan sakte hai ki past me uska kya record raha hai aur kya wah chori ka to nahi hai.

gadi ke number se malik ka naam pata karne aur uska adress pata karne ke liye aapko number plate me likhe number ki jarurt padegi yadi us gaadi ka number kisi wajah se toot gya hai to aap chasis number aur engine number se bhi pata kar sakte hai.

aap kisi bhi wajah se kisi gadi ke bare me pata karna chahte ho wah karte kaise hai chaliye aaj jaan lete hai.

Gadi ke number se malik ka naam pata kare

iske liye 3 tarike hai jinki madad se aap pata kar sakte hai.

  1. Website se
  2. Mobile app se
  3. SMS ke dwara

Website se – number se details pata karne ke liye aapko Ministry of Road Transport & Highways ki website par jana hoga.

dosto yah ek Government website hai aur poori trah se trusted hai saath hi isme aapko ek bhi advertisement nahi dikhai degi.

aap yaha Click karke direct is website par pahuch sakte hai iske baad aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.

 gadi ke number se pata kare malik ka naam

Vehicle No. me aapko us gadi number dalna hai jiski detail’s aap chhate hai uske baad Verification Code me aapko jo bhi Captcha dikhai de raha ho use fill karna hai aur uske baad aapko search vehicle ke button par click kar dena hai.

fir uske baad aapke saamne us gaadi ke number se related jankari aapke saamne aa jayegi.

gadi ke number se malik ka naam jane
vehicle details

iske baad aapke saamne gadi number se malik ka naam online aap dekh payege yadi aap kisi bhi wajah se website se nahi dekhna chathe hai to aap mobile appke dwara bhi dekh sakte hai.

Mobile app se – apne mobile par yah details dekhne ke liye aapko apne Mobile me Android Play Store ya Apple store se MParivahan ki app ko install karna hoga.

apne Android phone me Mparivahan ko Install karne ke liye yaha click kare  aur apne iPhone me Mparivahan app ko install karne ke liye yaha click kare.

yah app poori trah se secure hai is App ko NIC dwara banaya gaya hai. yah app kuch is trah ka ise install karne ke baad aapko open karna hoga

 gadi ke number se malik ka naam app download
 gadi ke number se malik ka naam app download

app ko open karne ke baad aapke saamne kuch is trah ka design show hoga yaha par aapko upar bahut sare option dikhai dege aapko RC par Click karna hoga jaise hi RC par Click karke aap us gadi ka number dalege

gadi ke number se malik ka naam app
M parivahan

gadi ke number dalte hi aapke saamne us gaadi ke malik aur uske RTO( Regional Transport Office) se judi sari jankari aapke saamne aa jayegi.

how to check vehicle owner

aur uski details aapke saamne aa jayegi aap chahe to  us gaadi ke challan kab kate hai aap wo bhi dekh sakte hai. kai baar gaadi ke challan ka status lait update hota hai.

lekin jaise hi wah update ho jata hai uski janakri bhi aapko app me dikh jayegi.

SMS ke dwara – yadi aapke pass smartphone nahi hai to aap bina internet ke bhi gaadi ke bare me jankari paa sakte hai iske liye aapke phone me 1.50 Rs se jada Main balance hona chahiye.

kisi bhi vahan ki jankari ke liye aapko apne sms box me yah likhna hoga.

                        VAHAN<SPACE>VEHICLE NUMBER

aur is message ko aapko 7738299899  par bhejna hoga. neeche diye gaye screenshot par aap dekh sakte hai.

gadi ke number se pata kare malik

jaise hi aap yah sms kar dete hai aapko turnat hi gaadi ke malik ka naam aur gaadi se judi aur jankari SMS se mil jayegi. aur yah ek Paid number hai jisme aapka 1.5Rs balance katega.

aur yadi aapke pass koi unlimited plan hai to aapka main balance nahi katega.

jaise owner name aur wah gaadi kaun si hai aur uska insurance kab tak hai. aur uski RC kab expire ho rahi hai saath hi uske Insurance se related janakri bhi aapko mil jayegi.

Conclusion

yah post padhne ke baad aapko gadi ke number se malik ka naam aur adress se related jankari aapko samjh aa gai hogi yadi aapko yah jankari acchi lagi to ise apne dosto ke saath share kariye.

aapke man me yadi koi question hai to aap comment karke pooch sakte hai. aur post ko apne dosto ke saath jarur share kare.

5/5 - (2 votes)
3 Shares

Leave a Comment