Google my business kya hai Business list kaise kare

aaj sab kuch onlne ho chuka hai aur aaj sabhi business online ho chuke hai ydi aapka business hai to aapko Google my business kya hai iske bare me apko pata hona chahiye.

google my business ka use aap yadi nahi karte to aap apne business me apne competitor se bahut peeche chale jayege aur apka nuksan hoga apka business kitna bada hai ya kitna chota hai isse koi bhi fark nahi padta.

google my business kya hai
google my business kya hai

aapko use Google my business me jarur list karna chaiye aur isi bare me aapko btayege ki aapko apne business ko kaise list karna hai.

aaj ka time digital marketing ka time hai aapko har ek kaam ke liye digital hona padega jisse time ke sath aap market me bane rahe. apka business google my business me hai to uske bare me log bhi jaanege.

Google my business se naye logo ko aapke business ke bare me jankari hoti hai is post me aap ye bhi padhege ki aapko ise list kaise krna hai  poora process to padhte rahiye.

Google my business kya hai

Google my business google ki tarf se aane wala ek listing tool hai jisme hum apna koi bhi business free me list kar sakte hai.

Google my business me aap apne business se jude phone number apna address aur apne social account bhi share kar sakte hai.

Benefits of Google My Business

jaise hi aap apne business ko Google my business me list kar dete hai apne business name Adress aur phone number ke saath iske alwa aap apne business ya apni services ya product se jude photo’s aur video bhi post kar sakte hai.

Google my business me add karne ka sabse bada fayda yah hai ki apka business Google Map ke saath google search me bhi aayega.

google my business benifits
Search Result

jab bhi aapki location ke pass se koi search karta hai jaise maan lete hai aapka ek restaurant hai aur aapne list kar diya hai jab bhi koi Google me restaurants near me search karega to usme aapka restaurant bhi hoga.

isme aapko online reviews milege jisse aapke business ki ranking badhegi aur aap ke upar trust logo ka badhega ye review star me show hote hai jitne jada star aapke business me hoge uska matlb aapke customer aapse utne hi khush hai aur aapko acchi rating de rahe hai.

Google my business par Register kaise kare

isme register karna ashan hai registration hai aur isme register karna free hai google ki yah service free hai jiske liye aapko koi bhi charge nahi dena hoga aur yah abhi tak lifetime ke liye free hai.

Eligibility

google my business par apna business list karne ke liye aapko  in sabh chizo ki jarurat padegi

  • Business Name
  • Business Adress
  • Business Phone No.

aapke pass yah sabhi to hoga hi to chaliye dekhte hai isko register karne ka process kya hai.

iske liye aap google my business ki app ya website dono se kar sakte hai me yaha par aapko website se kaise karna hai wo bata raha hu.

Step 1 : aapko sabse pahle google my business ki website par jana hia uske baad aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.

google my business registration process
Home page

yah page open hone ke baad aapko Start now ke button par click karna hai, ukse baad aapse apka Gmail account se apako sign karne ke liye kaha jayega yadi aap pahle se sign kiye hai to aapse aapke business ka naam poocha jayga.

google my business app
my business account registration

yaha par aapko business ka naam fill karna hai. aur uske baad Next ke button par click kar dena hai.

aapse aapke business ke bare me kuch details mangi jayegi unko aapko fill karna hai jaise aapke business ka adres apka phone number aur aap kis trah ki services provide karate hai.

jo adress aapne mailing adress fill kiya hoga us adress ko verify aur aapke business ko verify karne ke liye google aapko ek letter send karega jisme ek pin hoga aur use aapko verify karna hoga.

sari detail’s fill karne ke baad aapke saamne kuch is trah ka dashboard dikhai dega.

benefits of google my business

isi dashboard me aapko google my business ke bahut sare feature dekhne ko milege aur iske benifits bhi to dekhte hai iske kuch benefits.

Benefits google my business

Google my business me apna business list karne ke baad aur use verify kare ke baad aap isme apne business se related photo’s post kar sakte hai apne customer se chat bhi kar sakte hai. aur yadi aap koi update dena chahte hai to post karke update bhi de sakte hai.

ye sare free feature hai lekin  yadi aap apne business ko promote karna chahte hai to iske liye advertisement bhi chla sakte hai.

jo Google Ads ki tarf se hogi iske liye aapko kuch paise dene padege saath bhi customer ke review aur unki rating ka aap reply bhi de sakte hai.

Conclusion

Google my business kya hai ke baare me aapko poori jankari ho gai aur iske kya fayde hai aur iska upyog aapko kyo karna chahiye. yah aap samjh hi gaye hoge is post ko apne dosto ke saath bhi share kariye.

4.7/5 - (4 votes)
2 Shares

Leave a Comment