Dosto app sabhi log Paytm ke bare me to jante he honge, Paytm ek payments app hai jaha par aap apne friends and family members ko paise bhej sakte hai.

Itna hi nahi aap is Paytm app se or bhi kafi sari cheeje kar sakte hai Jaise ki kisi dukan par paise pay karna, ya phir kisi movie or train ke tickets book karna, ya phir gift cards ko purchase karna, ya Airtel free data ka recharge karna, ya vodafone free data ka recharge karna, ya pertol pumps or dukano par paise dena.
Paytm India me kafi phele aya tha, Vijay Shankar Sharma Jo ki paytm ke malik hai, In hone Paytm ko India me 2010 me launch kiya tha.
Uss waqt Paytm ko koi bhi itne acche se nhi janta tha, par agar aaj ki bat ki jaye to India me rehne wale har insaan ke smartphone me aapko Paytm to installed milega hi. Kyoki India me Paytm kafi jayda lokpriya ban gaya hai.
Iski lokpriyata, 2015 me demonetization ke bad itni jayda badh gayi hai ki ab aapko har dukan, cinama gharo, station, stands par Paytm ka QR code to milega hi.
Par kya aapko pata hai iss Paytm QR code ke Bare me? Agar aapko iske bare me nhi pata hai so aap iske bare me jarur jan lijiye.
Paytm QR code ke bare me jaane ke liye iss post ko pura end tak jarur padiyega or agar aapko ye accha lagta hai to aap isse apne dosto ke sath share jarur kijiyega.
Mai aapse yeh isiliye keh rha hu kyoki, kya pta kal ko aap kisi dukan me jaye or waha aapko Paytm ka QR code dikh jaye or phir waha jane anjane me hi aap kisi se iske bare me puche or wo sayad aapka majak bana de.
To chailye dosto Phele jan lete hai ki iss QR code ke kya kya fayede hai or Paytm app me aap ise kese scan kar sakte hai.
Paytm QR Code ke Fayde
Aap Paytm ke QR code ko scan karke kisi ko bhi Paise bhej sakte hai, bina uss insaan ke mobile number jane, ek iska sbse bada fayeda hai or iska dursa fayada yeh hai ki aapko QR code ko scan karne me jayada samey bhi nhi lagta.
or na hi isse transaction pura hone me samey lagta hai To chaliye ab jan lete hai ki isko kese istemal karte hai, or iske liye aapko kya-kya steps ko follow karna hoga.
Paytm QR code ko Scan Kese Kare
Dosto, Paytm ke QR code ko scan karne ke liya sabse phele to aap Paytm ka app apne Android smartphone ya phir IOS smartphone me install krle. Agar aap computer use karte hai to aap android emulator bhi download kar skate hai.
sabse accha or sbse behtar android emulator hai bluestack jisse ki app google pr ek search karke download kar sakte hai.
Niche me apko kuch steps bta rha hu jisse padhkar aap ise acche se smaj sakte hai.
Steps –
1) Isko install karne ke liya aap iss Link pr ja sakta hai, par agar aap ke smartphone me Google play store ya Itunes store hai to aap ise waha se bhi download or install kar sakte hai.
2) Aisa karne ke bad aapke smartphone me Paytm ka app install ho jayega google play store se automatically, phir Paytm ke app ko open kar lijiye or phir app Paytm app me pay wale button pr click kar dijiye.
3) Jaise hi aap Pay wale button par click krege, to aapke smartphone ka camera open ho jayega, uske bad aap apne kisi pas ki dukan me jayiega or QR code ko scan kar lijiyega.
4) Jab Aapka QR code Paytm ke app me acche se scan ho jaye to phir aapke samne uss dukan ka name a jayega jis dukaan par aapko paise dene hai, me aako suggest karunga ki jab aapko name show ho jaye to aap ise dukan ke owner se confirm karle.
jisse ki aapko pta chal jaye ki aapne sahi QR code scan kiya hai ya phir galat QR code scan ki hai.
5) Ab aapko jitne bhi paise bhejne hai, aap Paytm ki app me dal dijiye or phir aap apna UPI Pin dalkar paise bhej skte hai.
6) Jab aapka transaction complete ho jaye, yani ki jab aap paise bhej de tab aap, uss transaction successful wale message ko dukandar ko dikha dijiyega.
jisse ki wo apne Paytm business app me check kar paye ki aapke paise uske Paytm account me a gaye hai ki nahi. Bas ye the kuch simple or aasan se steps jisse ki aap kisi bhi Paytm ke QR code ko scan kar sakte hai or paisa bhej sakte hai.
Dosto kabhi kabhi jab aap payment karte hai to uch technical problems ki wajah se kuch transaction failed ho jate hai to mai aapko suggest kruga ki aapke sath bhi agar aisa kuch ho to aap turant Paytm customer care se bat kijiyega, jisse ki aapko kisi presani ka samna nhi karna padega.
Conclusion
Me asa krte hu ki ab aap samaj hi gaye honge, ki Paytm ke QR code ko sahi tarike se istemal kese karte hai. Dosto ye Paytm QR code ka feature Paytm app me pehele nahi aya tha.
ye kuch saalo phele hi Paytm ke app me Aya hai. Iske bare me kafi kam log jante hai, isiliye mene socha ki mujhe iske bare me aap sabhi ko bata dena chaiye.
Kyoki aap technical paana ke ek bhut jaruri reader hai. Agar aap ko ye post pasand ayi ho to niche diye gaye comment section mujhe likh kar iss post ke bare me jarur Bataye. Or agar aap social media sites use karte hai to iss article ko share jarur kijiye. Mai aapko kisi naye topic ke sath jald hi miluga.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul