Dosto Instagram ek aisa social platform jo bhaut hi jada popular hai aur yah future me bhi bahut hi jada popular hota jayega. aur Instagram me ab 1 Billion se bhi jada users hai jo ki bahut hi bada number hai. isi post me hum padhege Instagram account verify kaise kare.

aur aaj har koi instagram me popular hona chahta hai aur instagram se paise kamana chahta hai aur isliye use apne instagram me verified tick pana chahta hai.
jo uske account ko dusre account se alg banati hai kya aap jaante hai instagram followers badhane ke tarike
Instagram verification sabke liye nahi hai yah aap bhi jaante hai yadi Instagram har kisi ko verification badge sabko milega to us Instagram blue tick (verified Badge) ki koi bhi value nahi hogi.
Instagram account verified badge kewal public figures, celebrities aur brands ke liye hi hai.
yadi aap is post ko poora padhege to aap yah jarur jaan payege ki Instagram account verify kaise kare aur wo bhi do tariko se Instagram account verified karane ki request dense se phale ek jaruri jankari aapko dena chahunga.
Requirements to apply for a verified badge
Unique: aapka account Unique hona chahiye kahne ka matlab hai aapke account ko dekhkar yah pata lagna chahiye ki yah account kis baare me hai. aur yah pata lagna jaruri hai ki yah ki yah account kis person ya kis business ke baare me hai yadi aapka account unique nahi hoga.
yah baat aap samjh lijiye yadi Instagram verify kaise kare ke baare me aap soch rahe hai aur account unique nahi hai aapko verification nahi mil sakta hai.
is trah ka username kabhi mat banaye jaise @puppymemes is username se yah pata hi nahi chal raha ki yah account kis trah ka hai aur unique nahi hai.
Complete: aapka account poori trah complete hona chahiye aapke account Public hona jaruri hai yadi aap private account rakhte hai to aap na to apne followers badha sakte hai aur is baare me bhi sochna band kar dijiye ki Instagram account ko kaise verify kare.
check kariye ki aapke account me bio me likha hona jarui hai aur profile photo ka hona bhi jaruri hai.aur kisi aur social media ki link mat dijiye ya aisa kuch mat likhiye ki add me …….(any social media link)
Authentic: aapke account ki pahchan jaruri hai ki wo ek real person aur registered business ka account hai.
Notable: yadi aap ek bahut jada search kiye jane wale hai aur aapka naam kisi popular newspaper ya blog me name featured hua hai to aapke chance badh jaate hai. is baare me aap aur adhik Instagram ki website me padh sakte hai.
ye wo sabhi requirements thi jo aapke question Instagram account verify kaise kare ki answer ki trah hi thi isiliye pahle in par dhyan dijiye.
Instagram account verify kaise kare
neeche bataya gaya process official method hai aur is ehi aapko follow karna hai.
1. aapko apne mobile me Instagram ki application ko open krna hoga, aur uske baad aapko profile wale section par jana hoga aur upr ki tarf aapko 3 lines dikhai degi uske baad aapko settings me jana hoga.
uske baad aapko Request Verification ka Option milega jo ki kuch is trah ka hoga aapko Request verification par click karna hai.

2. Request verification par click karne ke baad aapke samne kuch is trah ke option dikhai dege jinhe aapko acchi trah se padh ke fill karna hai.
Instagram aapko unki jo policy h verification ke liye wo bhi aapko btayega.

aapka username automatic likh kar aayega use aap change nahi kar sakte yaha se, uske baad aapko apna Full Name Likhna( Proof req.) hai iske baad known as me aap kis trah se jaane jaate hai.
3. wo aapko likhna hoga aur uske baad aapko apko select a category for your account me apni category ko select karna hoga yadi aap blogger hai to aap blogger select kar sakte hai waha par apko kuch category dikhai degi.
Please attach a photo of your ID me aapko apna government-issued koi bhi document upload karna hoga jaise aap Driving License, Passport Voter ID Card upload kar sakte hai aur uske baad send ke button par click kar dijiye.
4. iske baad aapki verification request submit ho jayegi aur 72 Hours ke andar aapko aapke account ke verification se related information mil jayegi.

apka Instagram account approve hua hai ya nahi is se related jo bhi update hoga wo aapko app par notification ke jariye aur aapki registered email par mil jayega.
Note: aapka account verified hoga ya nahi yah Instagram ke upar hai aisa nahi hai ki aap sab kuch yadi sahi sahi fill karte hai.to Instagram apka account verified kare hi.
ek bar disapprove hone ke baad aap dobara apply 30 dino ke baad kar payege.
aapne yah to jarur hi suna hoga ki yadi aapko apna instagram account verify karna hai to aapke pass bahut sare followers hona chahiye.
Instagram ki Policy me aisa kahi nahi hai followers ke aadhar par instagram verification nahi deta hai aapne yah bhi dkeha hoga ki kuch logo ke ek hazar se bhi kam follower hote hai lekin wi verified ho jaate hai.
yah kewal kisi brand ya celebrity sports media news ya is trah ki category ke account me hi hota hai aur yadi aapka naam bhi ek brand hai to aapka account bhi verified hoga.
aur yadi aapne abhi tak hame Instagram par follow nahi kiya to kar lijiye aur paiye bahut saari update
Instagram Verification Tips
apna account verified karane ke liye aap in Tips ko bhi dekh sakte hai aur is baat ko sure kar sakte hai ki kya apake account ke verified hone ke chance hai.
yadi aapne kabhi bhi follower ko buy kiya hai to ho sakta hai apka account verified na ho. wese to minimum follower ki limit nahi hoti hai lekin yadi aapke account me follower hoge to verification ke chance badh sakte hai.
or ye follower Instagram ke real user hone chahaiye ye account yadi bot huiye to Instagram inhe automatic delete kar deta hai. aur aapke verification ke chances aur bhi ghat jayege.
Conclusion
Instagram account verification ke liye yadi aap apply karte hai aur aapka application Instagram reject kar deta hai yani aapka Instagram account verified nahi hota hai to aapko chinta karne ki jarurt nahi hai.
iske liye aapko work hard karna hoga yani apako mehnat karni hogi aur aapko ek famous personality banni hogi tabhi aapak Instagram account verification ho sakta hai .
lekin kuch log Instagram account verification badge ke liye itne pagal ho jaate hai ki wo galt tarike se galt website ke chakkar me pad jaate hai aur aapse paise liye jaate hai. aur aapka kaam bhi nahi hota.
to aapke iske liye sawdhan rhana chahiye aur ek acche tarike se Instagram account verification karaiye.
aur yadi aapka verification kisi valid process se nahi hua hai to aapka account bad me suspand bhi ho sakta hai.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul
Hey, webmaster its a very nice article for me. Before this, I don’t know how to verify my Instagram account. Thanks for sharing this great idea with us.
Thankyou 🙂
Hello S, it’s really great to share this content that is so helpful, I am really searching for this type of posy thank you for sharing it, keeps share this type of content.
thanks for sharing this
Thankyou 🙂
good job
Thankyou 🙂
thanks for sharing, good work keep it up,
Really nice information
Thankyou 🙂