Dosto Jio Telecom Sector ka wah naam hai jisne is field ke bade player ko market se hata diya aur kuch ek bade loss me chal rahi hai. to kyo na aap bhi Jio ki is success me paise kamaye. yah India ka sabse bada 4G network hai. aur hum baat krege jio tower kaise lagwaye.
aap apne ganv me ya kisi bhi city me yah tower lagwa sakte hai. aur isi baare me aap padhege.

aap chahe to kisi bhi company ka mobile tower lagwa sakte hai aur sabhi ki tower installation ki process alag alag ho skati hai. lekin me aapko yaha par jio tower installation process in hindi me btaunga.
jio tower installation process in hindi
jio tower lagwane ke liye kuch term’s and condition hoti hai jo ki aapko follow karna hota hai aur iske liye kuch document’s ki bhi jarurt hoti hai yadi ye aapke pass nahi hoge to aap jio tower nahi lagwa payege. ab baat karte hai. iske liye aapke pass kya kya hona chahiye.
Mobile Tower lagwane ke niyam
Mobile Tower ke liye TRAI (Telecom Regulatory Authority of India) ne kuch niyam banaye hai jinhe sabhi companies ko follow karna hota hai.
Yadi aap apne ghar ke chat me tower lagwana chhahte hai to 550 square feet ka khali space hona jaruri hai. aur yadi aap mobile tower kisi city ke plot me lagwana chhate hai to aapke pass 2100 square feet ka khali space hona jaruri hai.
aur ganv ke liye yah limit alag hai. yadi aap ganv me tower lagwana chhate hai to iske liye kam se kam 2600 square feet ki jagh honi chahiye.
aur yadi aapke area ke pass koi bhi educational, religious and health care institutions 100 Meter ke pass hai to aap mobile Tower nahi lagwa sakte hai.
aur yadi aapke pados se koi bhi vyakti kisi vlaid reason se tower lagane ke liye objection karta hai to tower nahi lagaya jata hai. aapa plot Road ke pass hona chahiye jisse use install karne me transport me problem na ho.
aur yadi jio tower aap apne ghar ki chhat par lagwate hai to aapke pass structural safety certificate hona chahiye is se building ke baare me pata chalta hai ki kya yah building majboot hai ya nahi. aur building ke owner ko ek NOC (No objection certificate) bhi dena hota hai.
jio tower kaise lagwaye
jio tower lnstallation ke kya ruel hai yah to aap samjh gaye ab baat karte hai ki jio tower lagwana kaise hai matlb iske ke liye apply kaise karna hai. ab iske liye neeche bataye gaye steps ko follow karna hai.
Step 1: Sabse pahle aapko Jio partner ki Website par visit karna hoga. aap yaha click karke ja sakte hai. iske baad aapke saamne kuch is trah ka page show hoga.

Yadi aapke pass Land ya Plot hai to pahla option select kare aur yadi aapke pass building hai to aap dusre option par select karke Proceed ke button par click kare.
Step 2: iske baad aapko apne Plot ya building ki location deni hogi. yah aapki location ko track kar lega aur yadi nahi karta hai to aap pahle apni location ko search kar lijiye aur uske baad exact place ko Pin kar sakte hai.

Jaise mene yaha par is location ko Pin kiya hua hai aap chahe to Plus ke button par click karke zoom bhi kar sakte hai. jaise hi aap apni location ko search kar lete hai iske baad aap confirm ke button par click kar dijiye.
yadi aap search jada nahi karna chhate hai to aap use my current location par click kar sakte hai. aur fir confirm kar dijiye.
Step 3: aapko yaha par apna Mobile Number ko enter karna hai uske baad aapke Mobile number par OTP aayega. uske baad aapko submit par click karna hai.

Jaise hi aap submit ke button par click karege to aapko apni kuch personal details ko submit karna hoga.
Step 4: ab aapko apni perosnal details par sabse phale aapko apna Mobile number show hoga. aur uske baad Correspondence address me aapko apna adress bhi fill karna hoga.

yah details ko fill karne ke baad aapko Next ke Button par click karna hai. aur next kar dena hai.
Step 5: ab aapko Land Details ke bare me size ke bare me information deni hogi. aur confirm ke button par click karna hai.

iske bad aapki Propery details submit ho jayegi aur aapko Application number mil jayega use aap save kar sakte hai.

is application number ka screenshot bhi aap apne pass rakhe kyoki future me aapko iski jarurt padegi.
Yah Process aap My jio ki applicaton me jakar bhi kar sakte hai.
to yah tha process jio tower lagwane ka ab aap samjh gaye hoge ki jio mobile tower kaise lagwaye jaise hi aap yah form fill kar dete hai iske baad Jio ki Team ko yadi lagta hai ki us area me Mobile tower lagaya ja sakta hai.
to wah aapki location me visit ke liye unki Team ki tarf se log aayege aur aapne jo details fill ki thi use verify karege.
jio tower monthly income
jaise hi aapki location par tower approve ho jata hai iske baad aapke aur company ke beach ek agreement ko sign kiya jayega. jisme sari terms and condition btai jayegi. aur aapke area ke hisab se jo bhi aapko monthly rent milega tower ka wo bhi aapko bataya jayega.
aur jio tower rent per month har area ke liye alag alag ho sakta hai. aur baad me yah amount increase bhi kiya jata hai.
conclusion
jio tower ke installation ka process aur jio tower kaise lagwaye yah aap samjh gaye hoge aur aapko isi process ko follow karna hai. market me aisi bahut sari companies hai jo tower lagwane ke naam par fraud karte hai.
aur ye company aapse tower lagane ke pahle hi security deposit ki demand karte hai jabki yadi aap upar bataye gaye process ko follow karege to aapko koi bhi paisa nahi dena hoga.
isliye aise fraud se bachkar rahe aur official method ko follow kare yadi aapke man me ab bhi koi quesiton hai to aap comment karke pooch sakte hai. ya aap mujhse Instagram me judkar bhi pooch sakte hai.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul