Meesho App se Paise Kaise Kamaye

Hello Readers aaj hum baat karege meesho app kya hai aur Meesho App se Paise Kaise Kamaye aur is meesho app se aap ghar bethe 40 se 50 hazar ruapye mahine kama sakte hai aur wo kaise yah bhi aap isi post me padhege.

isse pahle ki hum yah jaane Meesho App se Paise Kaise Kamaye isse phale hame yah samjhna hoga ki how to use meesho app aur yah kya hai.

what is meesho app in Hindi

yadi aap bhi soch rahe hai ki what is meesho app in Hindi ya meesho app kya hai to chaliye baat karte hai meesho ke baare me to meesho ek Bangalore based Company hai jo 2015 me suru hui thi.

is company ke andar 200 se bhi adhik employees hai aur meesho company ko vidit aatrey aur sanjeev barnwal ne suru kiya tha.

Meesho App se Paise Kaise Kamaye, meesho app kya hai, how to use meesho app in hindi
Meesho App se Paise Kaise Kamaye

aapke question meesho app kya hai iska simple answer hai yah ek Reselling app hai jisme aap product’s ko promote karna hota hai aur kisi bhi product ki ek base price hoti hai uske baad aap usme apna margin set karke use logo ko refer karke sell karte hai.

isse phale ki aap meesho ke saath kaam kare aapke man me ye question jarur hoga kya meesho app ek trusted app hai to iska answer hai haa meesho ek trusted app hai.

aur iske baare me Tech CrunchThe Times of India aur The Economic Times jaisi badi websites ne bhi ise feature kiya hua hai.

how to use meesho app in hindi

meesho app ko use karna bahut hi asan hai sabse pahle aapko meesho app ko download karna hoga. aur ise download karna bahut hi easy hai. aap neeche diye button par click karke

meesho app ko download kar sakte hai. meesho ko download karne ke baad aapko isme apna account bana hai meesho account banane ke liye aapko yaha par apni detiail’s deni hogi jisme aapki Bank detail’s bhi hogi jisse aapko aapka payout mil sake.

Meesho App se Paise Kaise Kamaye

jaise hi aap meesho me account bana lege aur aapka meesho account verify hoga jayega tabhi aap meesho app se paise kama sakte hai apka account verify hone ke baad aapko kuch is trah product dikhai dege .

Meesho app se paise kaise kamaye
Meesho app Home Page

yah Meesho app ka home page aur yahi se aap samjh payege ki Meesho app se paise kaise kamaye aapko For You section par bahut sare product dikhai dege aur inhi product ko sell karke hi aap meesho se paise kama sakte hai.

aapko jo bhi product dikhayege aapko unhe resell karna hoga aapko product apne Friends ke saath share karna hai aur yah aap Whatsapp se bhi kar sakte hai yani aap whatsapp se bhi paise kama sakte hai.

aapke man me jo pahla question tha meesho app se paise kaise kamaye in Hindi yah to aapke samjh aa gaya lekin chaliye ab baat karte hai ki aapko kis trah se meesho se paise kamane hai aur meesho kis trah se kaam karta hai.

meesho app ka business model kya hai aur meesho paise kaise kamata hai ye samjhne ke liye aap is example se samjh sakte hai.

Meesho app se paise kaise kamaye
Meesho app se paise kaise kamaye

maan lijiye koi ek T-Shirt hai jiski Price 500 Rs hai aur yah Meesho app aapko 500Rs me de raha hai aur yadi aap ise 500Rs me hi sell karte hai to aapko 0 Rs ka profit hoga .

T-Shirt ki yah Base Price hai isme aapko apna Margin set karna hoga aur jo Margin aap set karege wahi aapka profit hoga yadi aap use 550Rs me sell karte hai to aapka yaha par Profit 50Rs earn karege.

aap kitna bhi Price set kar sakte hai wah aapke upar hai aur isi trah aap meesho app se paise kama sakte hai. yah padhne ke baad aap samjh gaye hoge ki meesho app me paise kaise kamaye aur yadi aapke man me aur koi question hai to aap comment karke padh sakte hai aur apne dosto ke saath bhi share kar sakte hai.

yah to baat hui ki isme aapko kaam kaise karna hai ab baat karte hai meesho app review ke bare me ab baat karte hai meesho app ke bare me

Meesho app review in hindi

meesho app ek bahut hi acchi hai aur yah reselling par kaam karti hai. isme jo bhi product hota hai wo direct factory se ya whole sale market se seedhe meesho app par list kar diya jata hai.

aur isme aap ek base price ke baad apna price set kar dete hai aur base price ke baad jo bhi aap price fill karte hai wah aapki earning hoti hai. meesho app me bahut sare feature acche hai.

lekin inka customer support utna accha nahi hai aur bahut sare logo ne yah complaint ki iske product ki quality acchi nahi hoti hai. aur yah baat kuch had tak sahi hai. lekin meesho ise dheere dheere improve karega.

abhi yah ek startup company hai isliye ise improve hone me yani ki iski services ko improve hone me time lagega. aur yadi meesho ko market me Flipkart aur myntra ko competition dena hai to yah sab improve karna hi hoga.

Meesho app Payment Proof

yadi baat kar eki Meesho app se aap kitna kama sakte hai to yah total aapke upar hai aur aap kis trah kaam karte hai usi trah se aap earn kar sakte hai. Halaki Jaisa meesho apni Website me Claim karta hai ki uske bahut sare seller 30K se bhi jada earn kar rahe hai.

what is meesho app in hindi
Meesho Payment Proof

aur is screenshot me aap dekh sakte hai ki aap sach me 30 hazar se jada earn kar sakte hai aur yah poori trah se accha platform hai ghar bethe paise kamane ka

iske alwa yadi aapke man me isse related aur bhi question hai jaise  Meesho App se Paise Kaise Kamaye ke saath hi meesho app se aap kitna kama sakte hai to aap Meesho ke official Youtube Chanel ka yah video dekh sakte hai.

Bonus Tips

aap hamesa accha margin lene ki na soche suru me aapko apna margin kam rakhna hoga isse aage aapka fayda hoga. meesho me kabhi kabhi acche offer chalte rhte hai jo aapke liye useful ho sakte hai.

yadi aapko lagta hai ki koi bhi product utna accha nahi hai to aap dusro ko recommended bilkul bi na kare isse aapka trust kam hoga .

meesho me aapko Cash on Delivery ka option milta hai jise use karna na bhule India me Cash on delivery ka craze bahut hi adhik hai isliye iska upyog kare.

aap apne product ko Whatsapp ke saath saath Facebook aur Instagram me bhi share kar sakte hai aap chahe to iske lye alg se page bana sakte hai. aur yadi aapko waha se koi order milta hai to use turant place kar de.

Conclusion

yadi aap reselling ya Drop Shipping jaise business me interested hai to meesho aapke liye ek accha option ho sakta hai. aur isse aap paise bhi kama sakte hai. lekin yah utna asan bhi nahi hai, kyoki Meesho me bahut sare aise product bhi hai jo kafi costly hote hai.

aur wo India me Popular E-commerce me Top par hai jaise Flipkart, Amazon me low price me bhi mil jate hai yah utni acchi baat nahi hai  aapke liye.

aur yadi aap Meesho se kisi ko koi bhi product sell karte hai to meesho usme kahi par bhi apni branding nahi karta hai yah bahut acchi baat hai

aap ise try karke dekh sakte hai yadi aapko pasand aaye to aap ise aage bhi le ja sakte hai mujhe umeed hai ki meesho app kya hai aur Meesho App se Paise Kaise Kamaye yah article aapko pasnd aya hoga.

5/5 - (6 votes)
2 Shares

2 thoughts on “Meesho App se Paise Kaise Kamaye”

  1. बहुत ही बढ़िया पोस्ट लिखा है आपने मिशो ऐप के बारे में ।

    Reply

Leave a Comment