Dosto aaj hum baat karege online hotel booking ke baare me hame kabhi na kabhi hotel book karna pad jata hai aur internet par online hotel booking ke bahur sare option hai. oyo room kaise book kare yah hum isi post me padhege.
aur in sabhi hotel booking platform me hum aaj baat karege India ke ek bhaut hi popular hotel booking site aur platform ka jiska naam hai OYO Room ke baare me aapne kabhi na kabhi oyo ka naam jarur suna hoga.
sabse pahle bat karte h OYO Rooms ke baare me iski surat 2013 me hui thi OYO Rooms ke founder Ritesh Agrawal hai aur unhone yah kam age me bhi kiya tha.
OYO Rooms me apna room book karna bhaut hi asan hai yah bahut hi asan hai to iske liye aap do tariko se book kar sakte hai. me aapko yaha dono tariko se bataunga to
aap apne liye hotel book ya to website se kar sakte hai ya mobile app se kar sakte hai.
oyo room kaise book kare
sabse pahle aapko OYO Room ki app ko download karna hoga ise download karne ke liye aapko apne Google Play store par jana hoga ya fir aap neeche diye gaye button par click karke download kar skate hai.
Note – yadi aap upar diye gaye button se download karte hai to yah bhi play store se download hoga aur isme aapko 500 Rs free me milege.
jaise hi aap ise download kar lete hai isme aapko account banana hoga. aur account banana bahut hi asan hai.

yah account aap apne Mobile number aur truecaller account se bana sakte hai account banana bahut hi asan hai jaise hi aap account bana lege uske baad kuch is trah ka home page aapki app me dikhai dega.

waha paar aapko Search for Hotel, City or Location likha dikhai dega waha par aapko apni city ko dalna hai jaha par aap room book karna chhate hai.
jaise hi aap apni city select kar lete hai aapko jis date ko book karna hai us date ko book kariye Checkin wah din hota hai jis din aap hotel me enter karan chahte hai aur checkout wah din hota hai jis din aap udhar se jana chhate hai.

isme aapko jo bhi Room pasand ho aap book kar sakte hai yaha par apako kuch option dikhai dege pahle ink ebaare me baat karte hai
Sort – isme aap apne liye room Popularity Guest Ratings aur price ko low se high aur high se low me set karke hotel search kar satke hai.
Collections – yah ek naya option hai jo ki kafi accha hai Collection me aap Family OYOs yani ki yadi aap apni family saath rahna chahte hai. saath hi isme Local ID accepted ka option bhi hai jisme aap apni hi city me book kar sakte hai.
- Gaadi ke number se maalik ka naam
- Apne naam ki Ringtone kaise banaye
- Vehicle insurance agent kaise bane
aur International guest ka bhi aapko option milega aur isme bahut saare filter hoge jinhe aap explore kar sakte hai.
Apna room select karne ke baad aapko uske description ko padhna hai aur aapko apni check in aur checkout detail’s ko verify karna hai.

neeche ki tarf aapko Total amount dikhai dega jise aapko pay karna hoga aur yadi aapke pass oyo room ka koi bhi promo code hai to aap use apply karke discount bhi paa sakte hai.
aur iske baad aapka hotel book ho jaayega aur iska payment aap chahe to turnat kar sakte hai hotel me jaakr bhi aap pay kar sakte hai.

hotel book confirmation aapko message me bhi aayega aur yadi aapke number se whatsapp account hai to aapko whatsapp par bhi oyo ki tarf se messgae kiya jayega.
baad me yadi aap is hotel ko kisi bhi wajh se cancel karna chahte hai to aap apni app se my booking ke section me jakar ise cancel kar sakte hai ya OYO ki tarf se jo aapko WhatsApp par message aaya tha usme Cancel karke reply karke bhi cancel kar sakte hai.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul