Dosto paytm se paise kaise kamaye yadi aap bhi dhoodh rahe hai iska answer to aap bilkul sahi jagh aaye hai Paytm se paise kamane ke kai tarike hai.
aur is post me aap jo bhi tarika aap padhege wo kisi bhi trah se Paytm ki policy ko violate nahi karta hoga.
kahne ka matlb hai ki wo tarika kisi bhi trah se illegal nahi hoga. yadi baat kare paytm ki growth ki to yah bahut tezi se badh rahi hai aur paytm ko users bhi bahut hi tezi se badh rahe hai.
baat kare paytm se paise kaise kamaye jate hai hai usse phale baat krte paytm ke baare me kuch interesting fact jo aapko pata hone chahiye.
Paytm 2010 me saamne aaya tha aur paytm ke ab 80 Million se bhi jada Active useres hai jo ki apne aap me bahut bada number hai Paytm par per day 5 million se bhi jada transaction hote hai.
aur Paytm ki android app ko Google Play Store par 100 Million se bhi jada baar download kiya ja chuka hai. aapko choti se choti shop par bhi Paytm Accepted here ka board dikhai dega.
Paytm ke useres India me notebandi ke time par bahut jada badhe the chaliye ab waps se baat karte hai
paytm se paise kaise kamaye aur iske tariko ke baare me. yadi aap Paytm Company ke baare me aur kuch janna chahte hai to aap Crunchbase
ki website me padh sakte hai. janaiye fiverr se paise kaise kamate hai
Paytm se paise kaise kamaye free me
chaliye dekhte hai ab wo sabhi tarike jinse aap paytm se paise kama sakte hai jise paytm cash bhi kahte hai aur ise baad me apne paytm wallet aur bank account me withdrawal bhi kar sakte hai.
1. Paytm Partner se paise kamaye
jab baat karte paytm se daily paise kaise kamaye to aap paytm partner bankar acha paisa kama sakte hai.

me aapko ye btata hu ki paytm partner kya hai to aap paytm ke saath business kar sakte hai ise hi paytm partner kahte hai aur ye 2 trah ke ho sakta hai.
2. Paytm seller
aap paytm seller bankar aur apne products paytm ke saath jise paytm mall kahte hai ke saath accha paisa kama sakte hai.
aapko Paytm seller bankar apne product ko paytm me list karna hoga. jaise hi aap isme product ko list kar dete hai uske baad aapke product paytm ki app aur paytm mall me dikhna suru ho jayege.
aur uske baad aapko order aayege aur us products ko aapko customers tak delivered karna hoga. jaise hi wah product delivered ho jata hai aur uski return policy khatm ho jati hai.
uske kuch din baad paytm aapko apna commision cut karke aapko amount Transfer kar dega.
3. Paytm kyc agent bankar
aap soch rahe hoge paytm kyc se paise kaise kamaye to yadi aapke pass koi shop hai aur yadi nahi bhi hai to aap paytm kyc agent bankar accha paisa kama sakte hai aur iske liye aapko investment ki bhi jada jarurt nahi hai.
aur yadi is baare me aap aur kuch janna chhate hai to aapko hamari ye post jarur padhni chhaiye taki aap acchi trah se samjh sake ki paytm kyc se paise kaise kamaye aur jaise hi aap paytm kyc agent me registration kar lete hai.
uske baad hi aap paytm ke ek agent ban jayege aur jab aap paytm user ki kyc karege to uske badle aapko paytm ki tarf se paise milege.
aur aap unka paytm payment bank me saving or current account bhi open kar sakte hai.
4. Free Paytm Cash Apps download karke
Google play store par aapko aisi bahut sari apps mil jayegi jo aapko free paytm cash dene ka claim karegi.

aur inme se jadatar aapko fake paytm cash apps hi milegi isliye aapko free paytm cash apps real par hi kaam karna hai
Note : upar di gai app me koi bhi app fake ho sakti hai aur iski responsibility hum nahi lete hai.
in apps ki madad se bhi aap paise kama sakte hai in apps me aapko kuch task diye jayege jin task ko aap poora karte hai to aapko paytm cash milega.
Note : aap apne liye ek acchi app kaise dhudhe iske liye aapko ye steps follow karne chahiye
- Google play store par paytm earning apps ki rating jarur check kare
- Google play store par users ke kya comments hai us apps ke baare me wo bhi check kare.
- acche developer ki apps ke saath hi jaye.
- unki Terms & condition ko jarur padhe aur unka minimum payout kitna hai yah jarur check kare.
5. Paytm promo code se paise kamaye
yah ek bahut hi accha tarika hai yadi aap soch rahe paytm se paise kaise kamaye free me to iske liye aapko hamesa paytm promo code ka use jarur karna chahiye kai baar aap recharge karte hai aur paytm promo code lagana bhool jaate hai.

aisa karne se aap apne paise kho rahe hai isiye hmesa promo code lagaiye aur fast forward option ka na select kare.
coupon code me aapko cashback me bhi mil sakta hai jo ki aapke paytm wallet me add kar diya jata hai. jise aap paytm passbook me check kar sakte hai.
6. Paytm payment gateway se paise kamaye
yadi aap kisi bhi website par koi bhi payment kar rahe hai aur aapko waha par yadi paytm ka payment gateway dikhta hai to aap usi se payment kariye aisa karne se kai baar aapko cashback milta hai.
aur yadi aapke pass apni khud ki Website hai ya aapki koi shop hai to aap paytm se payment accept kar sakte hai. aur iske liye payment gateway hota hai.
aur yah inke payment gateway ka home page hai yaha par jakar aap Signup kar sakte hai. aur yah bilkul free hai.

yadi aap paytm ka payment gateway use karte hai to baki payment gateway ki trah paytm apna commision ko alag karke baaki ka amount aapke bank account me transfer kar deta hai.
7. Paytm gold se paise kamaye
aap soch rahe hoge paytm par free paise kaise kamaye ke beach me paytm gold kaise aa gaya to aapko gold me invest jarur karna chahiye yaha par me ye nahi kah raha ki aap paytm golde par hi invest kariye.

lekin yadi aap paytm gold purchase karna chahte hai to aap paytm gold ko lekar kuch extra gold le sakte hai jo ki offer me hota hai aur jis time aap paytm gold purchase kar rahe hai.
aur aapko aisa kuch offer nahi dikh raha to aaap mat khridiye. paytm gold purchase karne ke baad aap ise sell bhi kar sakte hai. aur yadi aapko yah Gold apne home adress par chahiye to aap use manga bhi sakte hai.
8. Recharge karke cashback
aap Paytm app se recharge karke bhi apne liye ek earning source bana sakte hai. paytm se aap jab bhi recharge karte hai to uske badle aapko cashback milta hai.
is cashback ki value alag alag hoti hai aur kai baar to aap full amount ka cashback bhi paate hai. yadi aapne 100 Rs. ka recharge kiya to aapko 100 Rs. bhi mil sakte hai.’
jisse aapka Recharge bilkul free me ho jayega aur next recharge ke liye aaapka wah paisa bach jayega.
jo aapki earning ban jayega aur paytm recharge ke liye har mahine koi na koi naya coupon code deta rahta hai. aap uska bhi use kar sakte hai.
9. Money Transfer
aap Paytm se money transfer karke paise kama sakte hai. aur Paytm se money transfer karne par aapko cashback bhi milta hai. aap paise bhi bhejte hai aur uske badle bhi paise paate hai.

Paytm se money transfer karna bahut hi asaan hai. paytm se aap free me money transfer kar sakte hai.
10. Shopping karke
Paytm se aap shopping bhi kar sakte hai aur yah Flipkart aur amazon ki trah India me popular to nahi hai. lekin isme Paytm mall se shopping kakre aapko accha cashback milta hai.
aur isme bhi aapko return aur refund policy dekhne ko mil jati hai. aur jab bhi aap Paytm se shopping karte hai to Paytm hamesa aapko extra cashback deta hai jisse aap uske platform me dobara jaye.
11. Refer & Earn
Paytm me aap apne friends ko refer kar sakte hai aur isme aapko 101 Rs cashback milega. aur jaise hi aapka friend upi ke dwara pahla payment karta hai to use 50 Rs ka cachback milega.

Paytm ke user uske isi refer and earn program ki wajh se itne jada huiye hai. jab Paytm market me naya tha tab usne apna database yani ki user ko increase karne ke liye refer and earn ko launch kiya tha.
12. Video
Google play store par aisi bahut sari apps hai jinme aap kuch task karne ke alwa advt. me video dekhkar bhi real paytm cash earn kar sakte hai.
halaki yah cash amount kam hota hai lekin aapko kuch cash jarur mil jata hai.
time is more value than money.#MotivationalQuotes
— Brajesh Singraul (@brajeshsingraul) June 7, 2020
13. Paytm Games
Paytm me game khelkar bhi aap paise kama sakte hai. aur games ke liye paytm ne apna khud ka ek platform launch kiya tha jise Paytm games bolte hai. aur iska use karke bhi aap paisa earn kar sakte hai.
Conclusion
ye sare tarike the paytm se paise kamane ke iske alwa aur bhi tarike hote hai lekin paytm se paise kamane ke kuch tarike aise bhi hote hai jinme aapko paise to milte hai.
lekin unme aapka time barbad bahut jada hota hai mujhe umeed hai ki aapko yah post paytm se paise kaise kamaye 2022 me yah pasand aai hogi. yadi iske alwa bhi aapko kisi aur tarike ke baare me jankari hai to aap comment kar sakte hai.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul
घर बैठे पैसा कैसे कमाए