paytm service agent kaise bane

Paytm hamesa se hi apne users ke liye new update lata rahta hai fir wah merchant ke liye ho ya user ke liye aur is baar bhi Paytm kuch is trah hi ek aur naya Program lekar aaya hai. aur is post me aap padhege paytm service agent kaise bane. iske baare me aapko me btaunga.

paytm service agent kya hai

Paytm service agent jise Paytm PSA bhi kaha jata hai yah ek program hai jo aapko ek opportunity deta hai extra earning karne ka Paytm service agent bankar aap yadi acche se work karte hai.

paytm service agent kaise bane

to aap 20 se 25 hazar ashani se kama sakte hai. aur yadi aapki performance acchi rahi to aap isse bhi jada earn kar sakte hai.

Paytm service agent bankar aapko Paytm ke products or services ko sell ya promote karna hota hai. aur aapko isme commission milta hai. Paytm service agent banne ke baad aapko

  • Paytm All in one QR Code
  • Paytm sound box
  • Paytm EDC Card machine
  • Paytm Fastag

in sabhi ko aapko promote karna hota hai. aur inke baare me aapko logo ko btana hota hai.

saathi hi aapko Paytm ke QR code ko bhi merchant ki shop par lagana hota hai. aur aap unka sound box or EDC Card machine ko bhi sell kar sakte hai.

paytm service agent kaise bane

Paytm service agent banne ke liye aapko online application Paytm ko dena hota hai iske liye aapko apne paytm ki app se bhi apply kar sakte hai ya fir aap paytm service agent ki website se bhi apply kar sakte hai.

registration karne ke liye aapke pass Aadhar card Pan card hona jaruri hai aur yadi aapke pass Pan card nahi hai to fir bhi aap registration kar sakte hai lekin iske liye aapse extra TDS deduct kiya jayega.

aur yadi aap apna Pan Card dete hai to aapko 5% ka TDS karega aur yadi aap pan card nahi dete to aapse 20% TDS deduct kiya jayega.

Paytm service agent registration process

Paytm service agent (PSA) ke liye paytm ki tarf se 2 trah ke plan hai

  • Recharge & Bill Payments
  • Business Service

Recharge & Bill Payments wala plan yadi aap choose karte hai to aap Mobile Recharge, Electricity, Gas, DTH, Water bill payments aur mobile protection Plans ye sare service aap apne customer ko de sakte hai.

Benefits

Mobile Recharge par aapko 0.5% Prepaid par commission milega aur Postpaid par aapko 0.25% ka commission milega.

Fast tag par aapko 50 Rs per sale ke milege , DTH recharge par aapko 1% commision milega. aur aapko Electricity Bill payment aur Water bill payment par aapko koi bhi commission nahi milega.

Business Plan

is Plan me aapko successful merchant onboarding karne par aapko 150 Rs milege or yadi wah merchant aapka engaged rahta hai to aapko 150 Rs aur milege.

Paytm Service Agent Product

yadi aap sound Box ko sell karte hai to aap 100 Rs tak earn kar sakte hai. aur yadi aap EDC Machine ko sell karte hai to aap 1550 Rs tak earn kar sakte hai.

sath hi isme aapko revisit ka bhi option diya jata hai jiske liye aapko alag se paise milte hai.

yadi bat kare dono Plan ke bare me to aapko Recharge wale plan me aapko 199Rs dente hote hai aur Business Plan ke liye aapko 499 Rs dene hote hai.

yadi aap paytm ki app se register nahi kar paa rahe hai to aap fir Paytm psa ki website se bhi register kar sakte hai.

Conclusion

Yadi aap Student hai ya part-time me koi job ko dhoodh rahe hahi to yah aapke liye ek accha option ho sakta hai. aur isme aap jitna bhi work karege aapko usi trah ka payout milega.

aap apne free time par kaam kar sakte hai aur baki chizo ko bhi saath me continue rakh sakte hai. kaam karne ke liye kisi bhi trah ki limitation nahi hai. aur isme investment bhi bahut kam hai.

to aap isko dekh sakte hai aur ek acche brand ke saath work karke aap bhi paise earn kar payege. aur isse pahle bhi me ek post likh chuka hi Paytm se paise kamane ke liye aap chahe to wah bhi padh sakte hai.

yadi aapko yah post pasand aai to apne dosto ke saath jarur share kare. aur aapko yadi koi doubt hai to aap comment bhi kar sakte hai.

5/5 - (1 vote)
0 Shares

Leave a Comment