payumoney kya hai aur kaise aap payumoney ke dwara apna payment le sakte hai yadi chaliye baat karte hai payumoney kya hai aur iska kaise aap use kar sakte hai, aur isse aap payment le sakte hai aur isse paise bhi kama sakte hai, is post me aap yah bhi janege ki payumoney se paise kaise kamaye isi baare me padhege.
yadi aap online koi bhi prodcut sell karte hai ya fir aap apni koi bhi services sell karna chahate hai aur aap apne customer se payment bhi online lena chhate hai to yah aapse bahut kaam aayega.aur yah secure payment gateway hai.
payumoney kya hai
payumoney ek payment gateway hai jiski madad se aap payment collect kar sakte hai yadi aapke pass koi website nahi hai fir bhi aapko payumoney ek store deta hai jo ki free hota hai.
yadi baat kare payumoney company ke baare me to yah Gurgaon based company hai. yah 2013 me start hui thi. aur yah payment gateway ka kaam karti hai. inki website par monthly visitor 1,943,363 se bhi adhik hai.
aap payumoney ki in services ka use free me kar sakte hai to chaliye dekhte hai.
payumoney services
- Physical Product sell kar sakte hai.
- Digital Product sell kar sakte hai.
- Event Ticket Sell kar sakte hai.
- Free Store bana sakte hai.
- Webfront bana sakte hai.
- khud ki service sell kar sakte hai(Digital Product)
- email aur sms invoice bhej sakte hai
iski services ke baad dekhte hai aap payumoney me apna account kaise bana sakte hai.
Payumoney par account kaise banaye
Payumoney par account banana bahut hi aasan hai account banae ke liye aapko sabse phale payumoney ki website par jana hoga ya fir aap yaha click karke jayege to aapko direct account banane wala page dikhai dega jo ki kuch is trah ka hoga.

yaha par aapko apna Email id dalna hoga aur jaise hi aap apna email fill karege iske baad aapke saamne kuch is trah ka page show hoga. jisme aapka Name, Phone Number aur password banane ko kaha jayega.

yah details fill karne ke baad aapko Next ke button par click karna hoga.
- BECOME A MERCHANT
- BECOME A WALLET USER
hame payment gateway chahiye isliye aapko BECOME A MERCHANT wale option par click karna hoga
uske baad aapse apka Mobile Number, Bank Account, or canceled chequebook mangi jayegi jisko verify karne ke baad apka payumoney me account open kar diya jayga
jaise aapka account verified ho jata hai uske baad aapke saamne kuch is trah ka Dashboard dikhai degayaha par aapko bhaut saare option dikhai dege yadi hame koi bhi payment collects karna hai to hame collect payments par jana hoga aur Share payment handel par click karna hoga.
uske baad aapse jisse bhi aapko payment lena hai uska email ya mobile number manga jayega aapko unme se koi bhi ek fill karna hai.aur apka payment link chala jayega.us par click karke wo aapko kitni bhi payment de sakte hai.
yadi aap Request Payments par click karege to aapse poocha jayega aapko kitni amount chaiye aur description me aapko likhna hoga ki yah amount kis product ya service ke liye hai.ab aap yah samjh gaye hoge ki payumoney kya hai aur yah kaise kaam karta hai chaliye baat karte hai iske kuch aur features ke baare me jo ki free hai iske liye aapko koi bhi fees dene ki jarurat nahi hai.
Webfront
iski madad se aap apne lliye ek dukan ki trah fornt page bana sakte hai jisme aapka koi product hoga aur uski kuch details hogi aur saath hi uske bottom me apka mobile number email adress aur adress hoga jiska Demo aap yaha Click karke dekh sakte hai.
Webstore
payumoney me aapko ek webstore bhi milta hai jisme aap apni ek shop open kar sakte hai jise store kahte hai us Store me aapko apne store ki detail’s dalni hogi jaise Store name aur Store Title aur saath hi apne store ko description me likhna hoga,
ki aapka store kis field ka hai aur uske baad aap apne product’s add kar sakte hai aur uske baad aapko apne store ki policies banani hogi jaise ki har ek website ya store ki hoti hai jaise aap hmare Blog ki Privacy Policy yadi aap padhna chahte hai to padh sakte hai.
Event
payumoney me aap apne event ka page bhi bana sakte hai jaha par aapko apne event ki venue ki details submit karni hogi , uske baad apka event ki starting aur ending date dalna hoga saath hi time aur iske bad apni ticket bana sakte hai aur apne hisab se ticket ki price bhi fill kar sakte hai.
payumoney se paise kaise kamaye
yadi aap payumoney se paise kamana chathe hai to aap yah payment gateway apne dosto ko reffer kar sakte hai waha par apako apna ek Unique coupon code milega aur saath hi invite link jisse aap reffer karke paisa kama sakte hai.
yah offer filhal payumoney ne ise band kar diya hai yah post padhkar aap samjh hi gaye hogki payumoney kya hai aur iske kya fyade hai aur kaise iska use karke aap apna business badha sakte hai yadi aapke man me ab bhi koi question hai to aap comment karke neeche pooch sakte hai.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul