Dosto aapne kai baar Refurbished Phone ka naam jarur suna hoga, aur aapke man me ye question jarur aaya hoga ki Refurbished Phone Kya Hota hai
kya Mujhe Refurbished Phone kharidna chahiye ya nahi. Refurbished Phone aapko bahut sari online e-commerce website me milte hai.

Refurbished Phone kharidne se phale aapko yah samjhna chahiye ki refurbished mobile meaning in hindi kya hoti hai. is bare me hum padhege.
Refurbished Phone Kya Hota hai
Refurbished phone kis trah ke hote hai aur isi bare me aap is post me padhege phale jaan lete hai refurbished hindi meaning kyoki ise samjhna bhaut hi jaruri hai.
jab bhi aap koi bhi naya Mobile Flipkart ya Amazon se kharidte hai to aapko waha par har ek Mobile me aapko ek Return Policy dikhti hai. neeche aapko hum Flipkart ki Return Policy dikha rahe hai.
aapke Blog me Flipkart se related ek aur post Flipkart plus kya hai ise bhi padhe yah Flipkart plus ke baare me hai.

aur har ek company ki Return Policy alag alag hoti hai. aap in link par click karke Flipkart Return Policy aur Amazon Return policy padh sakte hai.
aap soch rahe hoge mene aapko in company ki return policy ke baare me kyo bataya aur iska Refurbished phone se kya connection hai.
maan lijiye me ek mobile inme se kisi bhi company se kharidta hu aur wah mujhe us phone me koi problem aati hai aur wah product return policy me hai to me use return kar deta hu.
mere return karne ke baad ye company ( Flipkart or Amazon) ye us phone ko Brand new ki trah dobara to sell nahi kar sakti hai. isliye wo yah phone us company ko deti hai jis bhi brand ka mene mobile liya hota hai.
bad me wah brand us phone me jo problem hoti hai use fix karta hai aur us phone ka quality check karta hai aur jitni bhi problem hoti hai unhe fix karne ke bad wah waps de deta hai.
jab wah mobile Flipkart or Amazon ko mil jata hai to wah us phone ko Refurbished Phone ki category me sell kar dete hai jiska price usi phone ke normal price se kam hota hai.
kyoki wah poori trah se brand new phone nahi hai. aur yahi refurbished hindi meaning kahlata hai. ab aap yah acchi trah se samjh gaye hoge ki what are Refurbished phones chaliye ab baat krte hai yah kis trah ki hote hai.
Tips for buying Refurbished Phone
yadi aap Refurbished phone ko purchase karne ka man bana chuke hai to aapko in in baato ka dhyan rakhna bahut hi jaruri hai.
yadi aap refurbished phone ko purchase karne se phale in par dhyan nahi dete to aapko nuksan uthana pad sakta hai.
Price
jo bhi phone aap kharid rahe hai uski Price aur us phone ki brand new phone ki price jarur check kare yadi aapko dono me bahut hi kam anatar milta hai to aapko Refurbished phone us website
se nahi kharidna chahiye kyoki yadi price ka difference bhaut kam hai to aap thode paise aur invest karke wah brand new purchase kar sakte hai.
Warranty from Seller
aap apne phone ki warranty jarur check kare aur yah bhi confirm kare ki iske liye aapko manufacture kitne month ki warranty de rahe hai.
kam se kam 6 Month ki warranty jarur ho kai bar aapko 3 Month ki warranty milti hai lekin aap kam se kam 6 Month ki warranty ke saath hi jaye.
Phone Condition
aapko phone ki condition jarur dekhni chahiye wah kis trah ka phone hai usme kinte scratch hai aur usme koi problem to nahi hai.
har ek website apni tarf se quality check karti hai.lekin fir bhi aapko phone ki condition jarur dekhni chahiye.
Phone Locked or UnLocked
phone ko jarur check kare ki kya wah locked hai ya unlocked aapko unlocked phone lena hai aur use reset karna hoga kyoki kuch phone aise hote hai.
jo reset hone ke baad kewal usi id se activate hote hai jo usme pahle use ki jati hai. aur reset karne ke liye kuch phone me password bhi manga jata hai to is baat ka dhyan rakhe.
Return Policy
aapko uski Return Policy ke baare me poori jankari honi chahiye kis condition me phone return hoga aur kis condition me nahi hoga.
Best Places to Buy a Refurbished Phone in 2020
refurbished phone ko kharidne ke liye aapko hamesa ek trusted store se hi purchase karne chahiye. India me bhaut sari company Refurbished phone ko sell karti hai lekin hum kewal aapko ye hi suggest karege.

ye sabhi trusted company hai inke alwa 2gud bhi acchi website hai, 2gud Flipkart ki hi company hai pahle yah ebay hua karta tha.
baad me ise Flipkart ne kharid liya aur iska naam badal diya aur bahut sare refurbished phone yaha aapko mil jayege.
neech aapko 2ugd par listed ek iPhone dekhne ko milega. aur yah Apple iPhone 6s hai Gold Colour me 128Gb jiski price 16,999Rs hai.

Important Note – OLX Quicker jaise website se mobile purchase kabhi bhi mat kare aur yadi aap karna bhi chahte hai to poori savdhani rakhe haal hi me in website’s ke jariye bahut sare fraud dekhe gaye hai.
Refurbished phones advantages
Refurbished Phones me advantages to hai lekin utne kuch khas advantages bhi nahi hai iska sabse bada advantage hai price aapko kam price par acchi deal mil jati hai aur kai bar yah price difference
yani ki discount 45-55% tak mil jata hai jisse aapka Profit ho jata hai aur baad me aap us phone ko jab bhi sell karenge to aapko acchi price mil sakti hai.
Refurbished phones disadvantages
Refurbished phone yadi acchi condition ka nahi hua to wah phone ek risk ki condition me hota hai isliye phone ke setting me jakr phone diagnostic jarur jare aisa karne se aapko pata chal jayega ki phone me koi problem to nahi hai.
My Suggestion
aap yadi refurbished phone lena chahte hai to le sakte hai isme koi bhi burai nahi, lekin aapke man me ye question hota hai refurbished mobile kaise hote hai.
yadi mobile ki original price or refurbished phone ki price me jada difference nahi hai to aapko hamesa new phone hi purchase karna chahiye.
refurbished ka matlab kya hota hai ya fir kahe to refurbished means in Hindi ke baare me aapko hamari yah Post kaisi lagi Comment karke bataye aur ise apne dosto ke saath bhi share kare.
yadi aapke man me ab bhi koi question hai to aap humse contact karke pooch sakte hai.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul
Nice information
Thankyou Pankaj 🙂