Dosto aap ne kabhi na kabhi apna koi card ya koi documents ko speed post ke jariye bheja hoga ya fir aapke ghar me is trah kuch na kuch to aaya hi hoga lekin aaj hum baat karege speed post ko kaise track kare
or speed post ko kaise track kare yaha par hum aapko 2 tarike batayege ki kaise aap speed post ko track kar sakte hai. tracking karne ka fayda yah hota hai ki isse aapko speed post delivery time ka pata chla jata hai
Speed post tracking
Dosto aapko apne speed post ko computer ki madad se track karne ke liye neeche bataye gaye steps ko follow kariye jisse aap ise track kar paye.
Steps 1 : Sabse Pahle aapko India Speed Post ki official website par jana hoga Speed post ki official website me jane ke liye yaha click kare, uske baad aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.

Steps 2: Is Page par aapse Consignment Number(Tracking number) ko Enter karna hoga yah aapko jab milta hai jab aap koi bhi parcel bhejte ho aur use register jaise hi karte ho aapko post office me hi yah number milta hai.
ab aapke pass yah tracking number aa gaya aapko wah tracking number enter karna hai aur yah tracking number kuch is trah ka hota hai. PP109570121IN aapka jo bhi number hai aapko use Enter karna hai aur captcha ko complete karna hai.
jaise hi aap captcha ko bhar dege aur search ke button par click karege to aapko uski details kuch is trah dikhai degi.

aapko yaha par apni tracking ke baare me har ek information milegi ki aapki wah speed kis date or time me kis city me pahuchi hai. isse aapko jankari milegi ki yah kitne din me pahuchegi.
yah bahut hi ashan hai yadi aap yah seekh lete hai to aapko inke customer care me call karke poochne ki jarurat nahi hai. customer care me aap jab bhi call karte hai to aapko bahut adhik wait karna hota hai.
aur yadi aap post office jaakar pata karte hai to aapka waha par bhi time waste hota hai to behtar yah hoga ki aap yah apne mobile se 2 minute me hi check kar le ki aapka parcle kaha hai aur aapne jise bheja hai unko kitne din me wah mil jayega.
Conclusion
kisi bhi post ko track karne ke baare me aapko yah jankari kaise lagi comment karke bataye aur apne dosto ke saath bhi share kare.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul
Hi,
The explanation in article for each and every topic is really great and useful.I went over this website and I conceive you’ve got a large number of splendid information. Very nice and informative piece. Great work . keep posting.
Thankyou Priyanka