TikTok kya hai tiktok se paise kaise kamaye

yadi aap aaj ke time par kisi bhi social media ka use karte ho lekin aapne tiktok ke bare me jarur suna hoga. aur yah app ab bahut popular ho chuka hai. tiktok video aapko har ek platform me dekhne ko mil jate hai.

TikTok kya hai

aapke dost bhi tiktok videos banate hoge aur aap bhi kisi aise friends ko jante hoge jo tiktok par bahut active hai.

tiktok app me aap short video bana sakte hai. aur ise apne dosto ke saath share kar sakte hai yah Youtube ki trah hi video sharing platform hai. lekin yah short video ke liye bahut hi popular hai. iske baare me ab aur bhi jante hai.

TikTok kya hai

Tiktok ek short video sharing app hai. India me tiktok ko 2017 me launch kiya gaya tha. phale iska naam musically tha aur baad me inki parent company ne iska name change kar diya aur ab ise tiktok bola jata hai.

tiktok me aap short video bana sakte hai wo bhi 15 second tak ke video aap bana sakte hai aur ashani se ise share kar sakte hai.

is app me aap lipsing, dance, acting, comedy kar sakte hai. aur video bana kar aap aur bhi platform jaise Facebook Instagram me share kar sakte hai. saath hi isme video ko banana bahut hi ashan hai.

Tiktok ke malik kaun hai ?

yah app ek China-based company ByteDance ne ise develop kiya hai aur ByteDance ek China ki company hai jo 2012 me start hui thi ise Zhang Yiming ne start kiya tha.

Tiktok app download kaise kare

Tiktok app ko aap Google play store aur Apple Store se download kar sakte hai yadi baat kare iske abhi tak Google play Store par Downloads ki to iske 1B se bhi jada Downloads ho chuke hai.

Tiktok app ke 2 version hai pahla Tiktok aur dusra Tiktok lite jaisa ki naam se hi pata lag raha hai ki lite app un phone ke liye hai jinme ram aur storage kam hai.

tiktok ko download karne ke liye neeche links par click karke aap download kar sakte hai.

Tiktok App Download Link

Tiktok Android App- Link Tiktok ios App- Link

Note: Yadi aapke phone me storage kam hai to aap iska Lite version bhi download kar sakte hai.

Tik tok par account kaise banate hai

isme account banana bahut hi ashan hai sabse pahle aapko apne phone me tiktok ko install karna hai aur jaise hi aap open karte hai aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.

ab aap ye steps follow karke tiktok me id bana sakte hai.

  1. aapko app ko open karna hai aur Me wale section par click karna hai. aur Sign up par click karna hai.
tik tok par id kaise banaye
tik tok par account kaise banate hai

2. uske baad aapko sign up karna hai aur aap apne Mobile number email, facebook aur Google account(gmail) me se koi bhi select kar sakte hai.

tik tok par apna account kaise banaye
Tiktok Account singup page

aapko jisse bhi account banana hai aap use select kar sakte hai me yaha par apne email se tiktok account bnaunga.

3. uske baad yah aapse aapki Date of Birth poochega aapko apni date of birth ko select karna hai. aur apni email ko fill karna hai.

uske baad aapko apna password banana hai yah password kam se kam 8 characters ka hona jaruri hai.

fir aapko apna username banana hoga aur sign up ke button par click karna hoga uske baad apka tiktok account ban jayega.

aur ye sare steps karne ke baad apka tiktok account redy hai.

Tik tok kaise chalate hain – how to use tiktok in hindi

Tiktok ko baki app ki trah hi use karna bahut hi ashan hai lekin aapne yadi pahle kabhi tiktok use nahi kiya to aapko iske feature me jankari honi chahiye. ab aap aage padhege ki kaise tiktok chalate hai.

Home: jab bhi aap apne tiktok app ko open karte hai sabse phale yahi aapke saamne show hota hai. jise aap iska home page kah sakte hai. isme bhi aapko 2 option show hoge.

ye option hai following aur follow me ka yadi aap following par click karege to aapko un logo ke video dikhege jinhe aap follow kar rahe hai. aur yadi aap follow me par click karte hai to aapko apni hi video dikhai degi.

Discover: isme aap koi bhi hashtag ya kisi bhi creator ko search kar sakte hai. saath hi yaha par aapko recent ke popular tiktok videos dekhne ko mil jayaege.

aur apako yaha par wo video bhi dekhne ko milege jis trah ke video me aapko interest hai. ya jo aap dekhna pasand karte hai. tiktok ka algoritham aapko wahi video suggest karega jo aap dekhete hai.

Plus Button: Plus ke icon par click karne par aap khud ka bhi video record kar sakte hai saath hi gallery se bhi video upload kar sakte hai.

record karne ke baad aap usme tiktok ki library se koi bh sound use kar sakte hai yaha par aapko bahut sare filter bhi dekhne ko mil jayege aur aap transition bhi apne video me add kar sakte hai.

aap gallery se photo ko bhi upload karke video bana sakte hai. aur inki timing bhi set kar sakte hai.

Profile: Profile wale section par aap apni profile photo bhi add kar sakte hai isme aapko Bio ka section bhi dekhne ko milta hai. jaha par aap apne baare me likh sakte hai.

aur yahi se apne dusre social media account ko link kar sakte hai.

Tiktok App ke Features

  • Beauty Mode

Tiktok par aapko beauty Mode milta hai jisse jab bhi aap apna video banate hai to aap yadi kam light me bhi hai to aapka face beauty mode me hone ki wajah se video kafi accha banega.

  • Slow Motion

Aap Slow motion Video bhi bana sakte hai aur iski duration apne hisab se set kar sakte hai. iske alwa tiktok ke feature ki baat kare to isme aapko select sound ka bhi option milta hai. aur aap filter bhi apne pasand ka choose kar sakte hai.

Tiktok ban india in Hindi

yadi baat kare tiktok ki popularity ki to isme wah bahut baare badnam hua hai. Last year Indian Government ne Tiktok ko Ban kar diya tha jis wah se tiktok app India region par Play Store aur apple store se hata diya gaya tha.

Tiktok ke ban ki wajh thi usme post hone wala content Tiktok me Adult content aur chaild abuse se related bahut sare video the inme se kuch anti national video bhi the.

aur in sabko hatane me Tiktok India poori trah se kamyab nahi ho paya aur majburan Indian government ko ise ban karna pada.

aur isse bhi alag alag desho me pahle bhi tiktok ke upar ban lag chuka tha. tiktok ne time rahte apne platform me kharb video ko poori trah se hatana chalu kar diya hai.

kyoki iske upar permanent ban ka bhi khatra poori trah se tha. iske baad India government ne isme laga ban hata diya tha.

tiktok coins kya hai

Tiktok coins ek Virtual currency hai jo ki Tiktok ke dwara issue ki jati hai. ye Tiktok ki Android aur ios dono app me hai. aur inka use kewal aap Tiktok me hi kar sakte hai.

yadi baat kare ki ye tiktok coins ka use kya hai ya tiktok coins kya hai to yah feature tiktok creator ko financially  support karne ke liye ise launch kiya gaya tha.

jab bhi koi creator Tiktok par live jata hai to aap use Sticker or emotes send kar sakte hai jisse aapka message wah live karne wala creator ashani se dekh sakta hai. aur aapke question what is the use of tiktok coins ka answer bhi yahi hai.

tiktok creator ko aapke coins ki value ka 50% milta hai aur baki ka Tiktok khud rakh leta hai aur jab aap ye coins se purchase karke khud bhi send karte hai. to ye Diamond me convert ho jate hai.

aur jab ye diamond kam se kam 100$ ki value ke ho jate hai to streamer inhe Paypal me convert kar sakta hai yani ki Real cash me aur unhe Bank account me bhi transfer kar sakta hai.

Tiktok se paise kaise kamaye

kisi bhi social media par aapki yadi acchi following hai to aur aapka logo se engagement bahut accha hai to aap ashani se paise kama sakte hai. lekin tiktok se paise kaise kamaye yah ek aisa question hai jo sabke man me aata hi hai.

Directly Tiktok me abhi tak kisi ko bhi paise nahi milte hai lekin TikTok me aap koi bhi product ko promote karke paise kama sakte hai jise affiliate marketing kahte hai.

saath hi jab aapke followers bahut hote hai to brand aapse contact karte hai aur unke product ko promote karne ke liye aapse bolte hai aap unse paise lekar unka product promote kar sakte hai.

Product placement se bhi aap accha paisa kama sakte hai. aur logo ko product ke bare me bata sakte hai. bahut sare aise tiktok creator hai jinhe tiktok ki wjah se hi bollywood movie aur songs me jagh mili hai.

jisse wo accha paisa earn kar rahe hai. aur jaise hi aapke followers badhte jayege aap paisa earn karte jayege.

aur tiktok se paise kaise kamaye is question ke anwer ke liye kuch aur tarike ye hai.

iske alwa bhi aise bahut sare question hai jo aksar log comment karte hai chaliye un question ko bhi dekh lete hai.

tiktok par kisi ki id search karne par kya use notification jati hai ?

search karne par notification nahi jata hai.

kya tiktok par comment delete karne ke baad bhi user ko comment dikhta hai?

nahi.

Tiktok facts in hindi

tiktok jitni jaldi popular hua to isne bahut sare records bhi banaye hai aur bahut sare recrod break bhi kiye hai. chaliye jante hai aise hi kuch records aur facets ke bare me.

Tiktok ke 1.5 Billion se bhi jada downloads ho chuke hai. 2019 ke Q1 me Tiktok play store par sabse jada download kiya jane wala app tha.

Tiktok ke 41% user 16 se 24 saal ki age wale hai. Tiktok ke sabse jada User India(466.8M) ke hai iske baad Chaina(173.2M) aur USA(123.8M) me hai.

Tiktok par user on average 52 minute spend karte hai. Tiktok 155 se bhi adhik countries me 75 se bhi adhik language me available hai.

Conclusion

Tiktok ek platform ki trah bahut hi accha platform hai aur yadi aapko tiktok pasand hai aur aap ke andar koi bhi talent hai to yah aapke liye bahut hi useful ho sakta hai.

yah post aapko kaisi lagi comment karke bataiye aur ise apne dosto ke saath bhi share kariye.

1/5 - (1 vote)
0 Shares

Leave a Comment