Travel vlogger kaise bane vlogging se paise kamaye

Aaj ke time par Travel karna sabhi ko pasand hota hai aur sabhi yah chahte hai ki wo ek na ek din poora world ko explore kare. aur jab aap apne Saath virtual tarike se bahut sare logo ko jis jagh aap visit kar rahe hai wahi dikhate hai. to aap ek travel vlogger kahlate hai. aur hum padhege Travel vlogger kaise bane.

Travel vlogger kaise bane
Travel Vlogger kaise bane

travel vlogging ke bare me is post ko padhkar aap bhi travel vlogging ko samjh sakte hai. aur yadi aap chaahte to travel vlogging start bhi kar sakte hai.

Travel vlogging kya hai ?

aapke man me bhi yah question kabhi na kabhi raha hoga ki ye travel vlogging hoti kya hai ya fir iska Hindi meaning kya hota hai. ya vlog ka Hindi meaning ya fir Travel vlogger kaise bane

jaisa ki naam se hi pata chal raha hai travel yani ki yah travel karne wala.

jab wah travel karta hai aur us jagh ki information ki udhar kaise jaaye. waha kya khane ka option kya hai. kaun si currency hai udhar aur aapko waha ka visa kaise milega. wah travel vlogger kahalta hai.

ab aap samjh gaye hoge ki ye travel vlogger hame nai nai jagh ke baare me btate hai. aur unke video dekhkar hum us jagh ke baare me jankari paate hai.

Travel aapka passion ho sakta hai aur is passion ko aapko apni income me bhi badlna hoga warna. alag alag jagh jaane ke liye aapko money ki jarurt bhi padhegi aur wah aapko vlogging se hi milegi.

Travel Vlog kaise start kare?

Travel vlog yani ki travel vlogging ko start karne ke liye apko kuch equipment ki jarurat padegi. jinhe aap gear bhi kah sakte hai. to chaliye baat karte hai ek travel vlog ke liye kya kya chahiye hoga.

iske liye sabse pahle aapko apna ek chanel banana hoga yah chanel aap ya to Instagram TV par bana sakte hai ya fir aap Youtube par bana sakte hai. aapko sabse pahle youtube par hi chanel banana sahi hoga.

jaise hi aap apna youtube chanel bana lete hai. uske baad aapko vlogging ke liye.

Vlogging equipment for youtube

ab baat karte hai vlogging ke gear(equipment) ke baare me.

#1 Camera

aapko vlog karne ke liye camera ki jarurat padegi hi padegi. yadi aap starting me camera purchase nahi karna chahte hai to aap apne mobile phone se bhi vlog bana sakte hai.

best vlogging camera
Vlogging Camera

aur jab aapko usse earning hone lage ya fir bhi aap DSLR se hi start karna chahte hai to aap ek accha sa DSLR Camera purchase kar sakte hai. kyoki Mobile Phone aur DSLR ki camera quality me bahut hi difference hota hai.

aur yadi aap accha vlogging camera dekh rahe hai to aapko Sony A7R Mark III purchase karna chahiye yah ek accha camera hai.

#2 Microphone (Mice)

Vidoe quality acchi ho aur uska audio kharb ho to us content ko sayd hi koi pasand kare. aur aapke pass ek accha microphone hona chahiye. yadi aap mobile se vlog karte hai to aap apne mobile ke internal microphone se bhi audio record kar sakte hai.

aur yadi aapke camera ya mobile ka internal microphone accha nahi hai to aapko Boya k a Boya BYM1 microphone kharidna chaihye. iski quality is budget me sabse acchi hai.

#3 Tripod (Gorilla tripod)

yadi aap mobile se vlog karte hai to aap apne mobile ko hath se pakd kar thodi bahut vlogging kar sakte hai. lekin yadi aapko kabhi time lapse lena padega to aapko tripod ki jarurat padegi hi.

Gorilla tripod
Gorilla tripod

aur yadi aap camera se vlog karte hai to aapse pass tripod hona jaruri hai aur yadi aapka budget kam hai to abhi aapko Joby Tripod ko purchase karna chahiye.

iske alwa bhi aur bhi gear ki jarurat padegi jaise hi aap popular hone lagege lekin starting me aapke pass yadi yah bas hai to aapka kaam chal jayega. aur baad me aap Drone ya cinimetic shot lene ke liye bhi camera le sakte hai.

aapko apne travel vlog Chanel ko promote karne ke liye aapka jo bhi chanel name hai. us naam se aapko Facebook, Twitter, Instagram sabhi jagh account banne hai.

jisse log aapko social media par bhi follow kar sakte hai. aur jab aapka new video aayega to unhe aapke social media page se bhi janakri mil sake.

aap jis jagh rahte hai yani ki jis city ya village me rahte hai udhar ke aas pass ke area aur apke area me jo bhi popular ho us baare me vlog bana sakte hai. aur use upload kar sakte hai.

yah aap suru me part time hi kare kahne ka matlb hai aapko vlogging ke liye pagal nahi hona hai. jo time aapke pass free ho yani ki aapke school college office ka kaam khatm karne ke baad aap yah kar sakte hai.

aur jab aapko lage ki aapke vlog logo ko pasnad aa rahe hai aur aapke subscriber badh rahe hai to aap usme invest bhi kar sakte hai.

kahne ka matlb hai. aap kisi dusri city ya kisi aur country jakar bhi vlog bana sakte hai. starting me aapko apna time aur money dono hi invest karna padega.

How to edit travel videos

jo vlog jinta accha edit hoga wah utna hi accha dikhega. aur jarurat se jada editing kabhi bhi nahi kare. vlog ko edit karne ke liye aap bahut sare apps aur software ka use kar sakte hai.

yadi aap mobile se edit karte hai to aap Vlogit Filmorago ka use kar sakte hai aur yadi aap Windows se edit karte hai to aap filmora, camtasia ya adobe premiere pro ka use kar sakte hai . aur yadi aap mac os ka use karte hai to aap Final Cut Pro ka use kar sakte hai.

Vlogging se paise kamaye

suru me aapko earning sayd na ho lekin baad me vlogging bahut hi accha earning source hai. starting me aapko jo bhi paisa invest karna hoga wo to khud se hi karna hoga. ya to aap apni pocket money se kar sakte hai ya fir freelancing se earn karke kar sakte hai.

how do vloggers make money
vlogging se paise kaise kamaye

jab aapka channel popular ho jayega to aap fir Google Adsense aur sponsorship se paise kama payege. aur baad me aapki flight Hotel yah sab sponsor hogi jise aapko paise nahi dene padege.

Popular Travel Vlogger in India

ek time tha jab India me vlogging bilkul bhi popular nahi tha lekin ab time badl gaya hai. aur is field me bhi competition badh gaya hai lekin baat karte hai kuch aise popular Vlogger ke baare me.

Mumbiker Nikhil

yah Chanel bhi hi Popular hai Nikhil Travel Vlog banate hai aur ab inke subscriber 3 Million se bhi jada hai.

yah India me bahut hi popular youtuber hai. Mumbiker nikhil Vlogging karke hi popular huiye ab inke khud ki company bhi hai jo alag alag field par kaam karti hai.

Vlogging Tips

suru me aapke vidoe par views nahi aayege yah aap mana kar chaliye aur apne chanel ke video ke views ko dekhna acchi baat hai lekin aapko bar baar yah nahi karna chahiye yah aapko demotivate kar dega.

mehant karte rahe aur kisi ko bhi copy nahi kare apne tarike se logo ko jankari de. Vlog karte time kisi bhi trah ki wah baat na bole jisse kisi bhi trah ka lena dena na ho us video me.

My conclusion

Travel vlogger kaise bane is baare me aapko samjh aa gaya hogaki travel vlog kya hote hai aur iska hindi meaning kya hota hai. aur yadi aap travel karke paise kamana chhate hai to aapka yah passion aapka profitable business ban sakta hai.

yadi aap accha karege to aapko Youtube India promote bhi kati hai aur time time par bahut sare awards bhi vlogger ko milte hai.

yadi aapke man me ab bhi koi question hai to aap comment karke pooch sakte hai. aur is post ko apne dosto ke saath bhi share kariye.

5/5 - (1 vote)
1 Shares

1 thought on “Travel vlogger kaise bane vlogging se paise kamaye”

Leave a Comment