truecaller se number kaise hataye 2022

Dosto aap sabhi truecaller ka use to karte hi hoge yadi aap truecaller ka use nahi karte hai to aapne iske baare me kabhi na kabhi to jarur hi suna hoga yadi aap truecaller ke baare me nahi jaante aur yah bhi nahi jaante ki truecaller se number kaise hataye to yah article padhte rahiye.

truecaller kya hai

truecaller ek aisi service hai jiski madad se hum apne phone me aa rahe call ki details le sakte hai aur yadi wah number hamare phone me save nahi hai fir bhi hum yaha pata kar sakte hai ki yah kiska number hai aur kis jagh se hame call aa raha hai. aur uski caller id online dikha deta hai. yah bhi padhe Paytm se paise kaise kamaye

yadi baat kare ki truecaller company ke baare me to yah True Software Scandinavia AB company dwara banaya gaya hai aur ise 23 September 2009 me launch kiya gaya tha yani ise ab 11 year se bhi jada ka time ho gaya hai.

yadi baat kare iske Download’s ki to Google Play Store par 500M se bhi adhik download hai aur iski rating 4.5 hai jo ki acchi rating mani jaati hai.

truecaller ke dwara hum hamare number par aa rahi incoming call ke baare me detail’s le sakte hai jo ki aapko Spam se bachata hai. ab aap yah samjh gaye hoge ki truecaller kya hai.

truecaller kaise download kare

truecaller download karna bahut hi easy hai ise aap Google play store par download kar sakte hai.

aur yadi aap ios user hai to aap ise apple store se download karna chahte hai to aap yaha download click karke truecaller download kar sakte hai.

truecaller id kaise banaye

turecaller ko download karne ke baad aapko isme apna truecaller account bana hoga aur apni profile ko complete karna hoga  truecaller account banane ke liye aapko sabse pahle apna number fill karna hoga uske baad aapke mobile par ek OTP aayega jise aapko fill karna hoga.

aur uske baad aapse apaka Name, Email, poocha jayega jise aap fill kar dijiye aur aapka Truecaller account ready hai.

truecaller kaise kaam karta hai

kya aapne kabhi socha hai ki ye truecaller kaise kaam karta hai iska concept bahut hi simple hai yah poori trah se crowdsourcing par chalta hai aur isi ki wajh se aap tak caller ki information truecaller deta hai.

chaliye ab ise example lekar samjhte hai jaise hi koi bhi user truecaller ko download karta hai apne phone me to truecaller uske phone ke saare contacts ko apne server me sync kar leta hai aur truecaller ke user’s ki to truecaller active users 200 Million se bhi jada hai jo ki ek bahut bada number hai.

aur ye saare truecaller server par save hote hai maan lijiye aapke number me kisi ka bhi unknown call aata hai aur wo apke number me save nahi hai to use time truecaller us number ko apne database me search karta hai aur yadi wah number kisi bhi truecaller ki contact list me hoga

aur wah number jis name se jada baar hoga wahi aapko dikhai dega. aur truecaller ka data poori trah se sahi nahi hota hai yah isliye hota hai kyoki maan lijiye 123456 ek number hai aur is number se 123456 ne truecaller me koi bhi account nahi banaya hai.

yah bhi padhe

aur jaise A B C D ye log hai to ye number A B C D apne phone me alg alg naam se save karke rakhe hai to truecaller jis naam se sabse jada save hoga wahi dikhai dega. ab aap samjh gaye hoge ki truecaller kaise kaam karta hai.

truecaller se number kaise hataye

jitna asan truecaller app install karna hai aur account banana usse thoda sa kathin hai truecaller account ko delete karna lekin hum aapko poori process btayege jisse ki aap yah samjh sake ki aap apna number truecaller unlist kaise kara skate hai.

truecaller se number unlist aur truecaller se no kaise hataye ye dono ek hi question hai isliye aapko confuse hone ki jarurat bilkul bhi nahi hai.

Step 1 : aapko apne phone me truecaller ki app ko open karna hai iske baad aapko Left side par 3 line hogi waha paar aapko click karna hai. 

truecaller home page

Step 2 : Click karne ke baad aapko kuch is trah ke option dikhai dege aapko sabse neeche ki taraf Settings par jana hoga. Setting par jaane ke baad aapko Privacy Center par jana hoga.

Step 3: Privacy Center par jaane ke baad aapko Deactivate ka option dikhai dega aapko Deactiviate par click karna hoga.

truecaller se apna number kaise hataye

iske baad apko kuch is trah ka message dikhai dega. By deactivating your account you will delete your profile data. Do you wish to continue? aisa likh kar aayega aur aapko YES par click karna hoga.

truecaller se naam kaise hataye

jaise hi aap Yes par click karege aapke saamne ek or box open hokar aayega jisme likha hoga Once you deactivate, you will not be able to control your name on Truecaller yani ki aap apna naam ab truecaller par control nahi kar payege.

aapko yaha par bhi yes par click kar dena hai.

iske baad aapka Truecaller account delete ho jayega abhi kewal aapka truecaller account delete hua hai aur truecaller se number kaise hataye iske liye aapko aakhiri step aur hai jinhe aapko follow karna hoga.

Step 4 : aapko ab truecaller se request karni hogi ki aap hamra number apne database se unlist kar dijiye iske liye aapko is Link par Click karna hai. uske baad aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.

truecaller se apna number kaise hataye

aur truecaller se number kaise hataye ki yah aakhiri process hai.yaha par aapko Country me default India aayega aapko ise change nahi karna hai aur phone number me apna mobile number Country code sahit dalna hoga jaise aapka number 9876543210 hia to apako +919876543210 aise likhna hoga.

aur uske baad aapko I’m not a robot ka Captcha Sovle karna hoga aur UNLIST PHONE NUMBER par click karna hoga jaise hi aap yah karege aapse kaha jayega ki aapka poora truecaller account delete ho jayega aapko yash par click kar dena hai

yah hone ke baad 24 hours ke baad aapka number poori trah se truecaller se hata diya jayega to yah thi poori process aapke question truecaller se number kaise hataye ki mujhe umeed hai ki aapko yah post pasand aayegi

truecaller ke nuksan

yadi aap apni privacy ko lekar bahut jada alert rahte hai to apako truecaller ka use nahi karna chahiye aur jada jankari ke liye aap yah video dekh sakte hia iske baad aapko truecaller ke baare me aur adhik jankari mil jayegi.

Trending Post

5/5 - (4 votes)
1 Shares

Leave a Comment