vehicle insurance agent kaise bane

Dosto kya aap bhi janna chahte hai ki ek vehicle insurance agent kaise bane aur iska kya process hota hai aur isme apka kya fayda hota hai to yah post aapke liye bhaut hi jaruri hai.

Insurance sector hamesa se hi ek profit wala business raha hai aur yadi aap insurance sector me apna carrier banana chate hai ya iske baare me soch rahe hai to aapko iske baare me poori knowledge honi chaiye.

vehicle insurance agent kaise bane
vehicle insurance agent kaise bane

yaha par me aapko insurance agent kaise bane ke baare me btaunga, ab aapne insurance agent banne ki soch li hai, to me aapko yah bhi bata deta hu ki insurance kitne prakar ke hote hai.

Insurance kitne prakar ke hote hai

  • Jeevan Beema Yojna (Life Insurance)
  • Durghatna Beema Yojna (Accidental Insurance)
  • vahan beema yojna (Motor Insurance)
  • Yatra beema (Travel Insurance)
  • Fasal beema (Crop Insurance)
  • Paltu janwaro ka beema (Pet Insurance)
  • Rajnetik jhokhim beema (Political Risk Insurance)
  • Vivah ke liye beema (Marriage Insurance)

itne trah ke beema hote hai lekin aapj ki is post me aapko bataunga ki aap motor insurance agent kaise bane.

motor insurance agent kaise bane yah ek bahut hi accha question aur ek acchi job ho sakai hai.

Sarkar ke anusar Motor Vichle Act 1988 ke tahat har ek vehicle insurance hona jaruri hai aur aajkl har kisi ke pass koi na koi vahan jo aapke liye accha hai.

yadi koi bhi bina insurance ke gaadi chalta paya jaata hai to yah ek crime hai aur use iske liye fine bhi dena padega.

Motor insurance me insurance 2 prakar ke hote hai jinme se hai first-party aur third party Indian Government ke ansuar 3rd Party Insurance hona jaruri hai.

Motor Insurance agent ka kya kaam hota hai

Motor insurance agent ka kaam Policy ko sell karna hota hai. aur wah apne adhikar me aane wali kisi bhi company ki insurnace policy ko beach sakta hai.

Insurance Agent jab bhi koi policy kisi ko bechta hai to wah use policy ke bare me har ek jankari apne customer ko deta hai. yah uska kaam hota hai.

aur yadi aap koi policy kharidte hai to aapko us policy ke bare me har ek jankaari leni chahiye.

vehicle insurance agent commission

yadi baat kare motor insurance agent ki salary kitni hoti hai yah wah kinte rupaye kamata hai ya uski commission kitni hoti hai.

sach to yah hai kisi bhi Insurance Agent ki ya to wah motor insurance agent ho ya koi bhi policy sell karne wala agent ho uski koi bhi salary nahi hoti hai.

wah jinta kaam karta hai use utne hi paise milte hai yadi wah koi bhi kaam nahi karta hai to use kuch bhi paise nahi milte har ek policy bechne par use commission milti hai jo ki 15 se 20% tak hoti hai.

Note – har ek company ki alag alag commision hoti hai aur kisi festivel season me yah commision aur bhi adhik ho sakti hai.

Benefits Of Vehicle Insurance Agent

har ek kaam me koi na koi fayda jarur hota hai aur wah aapke hisab se kam ya jada bhi ho sakte hai.

  • ise aap chahe to part time job ki trah kar sakte hai.
  • Insurance agent banne ke liye aapko bilkul bhi invest nahi karna hot hai.
  • kaam karne ki poori trah se azadi hoti hai.
  • kaam karne ka koi time limit nahi hota hai aap apne hisab se din ya raat me kaam kar sakte hai.
  • iske liye aapko koi bhi job chhodne ki jarurat nahi padti hai.
  • aapko naye naye logo se milne ka mauka milta hai.

Vahan beema agent banne ke liye yogyata

har ek company ki thodi bahut kam aur adhik requirement ho sakti hai lekin yaha par me aapko wah requirement bata raha hu IRDA( Insurance Regulatory and Development Authority ) ki guidelines me hai.

aapko kam se kam 10 vi pass hona chahiye aur aapki Aget 18 saal ya usse adhik honi chahiye.

vehicle insurance agent kaise bane

insurance agent kaise bane is question ke answer me aapko kya kya karna padega ab is baare me baat karte hai.

me aapko behicle insurance agent banne ke liye bahut hi asan tarika bataunga jisme apako koi bhi problem nahi hogi.

aur yah poori process online hogi iske liye aapko kisi bhi office jaane ki jarurat nahi hai.aur na hi aapko apne document’s ko kahi par bhejne ki jarurt hai.

Motor insurance agent banne ke liye documents

wese to iske liye aapke pass bahut sare document’s hone ki jarurt nahi hai lekin jis process me aapko insurance agent registration karwaunga uske lye aapke pass ye document hone jaruri hai.

  • Aadhar Card
  • Pan Card
  • PassPort Photo
  • Canel cheque
  • Passport size photo
  • 10th,12th ya graduation mark sheet

aapko bas itne hi document ki jarurt padegi aur inhi document se aap insurance agent banege. ab baat karte hai iske registration process ke baare me.

Insurance agent registration process

yaha par me aapko Quickinsure ki madad se aapko insurance agent banwaunga iske liye aapko apna Registration karna jaruri hoga

Steps 1: aapko sabse pahle Quickinsure ki Android app ko play store se download karna hai ya fir aap yaha click karke App ko download kar sakte hai.

motor insurance agent kaise bane

Steps 2: app ko download karne ke baad aapko ise open karna hai. ab aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.

jisme aapko Login aur Signup ka option dikhai dega. aapko Signup par Click karna hai.

vehicle insurance agent kaise bane
vehicle insurance agent kaise bane

jaise hi aap Signup ke option par click karoge aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega. yaha par aapko apni detail’s ko sahi sahi fill karna hai. aur promo code me aapko yah code dalna hai.

BRAJ34E7

vehicle insurance agent apply
vehicle insurance agent apply

uske baad aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.

uske baad aapko SIGN UP ke button par click kar dena hai aur iske baad document upload karke apna registration poora karna hai.

Step 3: uske baad aap apna registration ka pahla step poora kar lege uske baad aapke samane mobile verification ka option aayega.

aapne jo bhi mobile number Enter kiya hoga registration karte time usi number par ek OTP jayega.

insurance agent kaise bane

aur us OTP ko enter karke  aapko Verify ke button par click karna hai. yadi kisi wajh se aapke mobile me turnt OTP nahi aata hai to thoda sa wait kar le aur yadi fir bhi nahi aata hai to neeche Resend OTP ke button par click kare.

OTP Enter ke baad yah verify ho jayega.iske baad aapko apne doucments ko upload karne hoge.

Step 4: yaha par aapko apni kuch personal details deni hogi jaise Aadhar Card, Pan Card aur Education Proof ko Upload karna hoga.

bike insurance agent kaise bane

sabhi document ko upload karne ke baad aapko Submit par click karna hoga. jaise hi aap submit kar dete hai. uske baad aapke documents ko verify bhi kiya jayega.

Tranning

yadi aapke document sahi hoge to aapko 15 ghante ki training di jayegi. IRDAI ek government agency hai jo India me Insuracne ke sector me kaam karti hai.

aur iske niyam ke anusar koi bhi bina tranning ke agent nahi ban sakta hai. use kam se kam 15 ghante ki tranning karna jaruri hota hai. aur bina is tranning ke koi bhi company agent ka license issue nahi kar sakti hai.

iske baad aapko online exam dena padega jisme ashan se question pooche jaate hai aur jaise hi aap wah exam pass kar lete hai to aapko IRDA ki taraf se approved agent mana jayega.

aur aap apna motor insurance se sambndhit kaam kar sakte hai. isme aap personal accident aur travel insurance bhi kar sakte hai.

ab baat karte hai insurance agent registration se jude kuch question aur unke answer ke baare me.

Conclusion

is article ko padhne ke baad motor vehicle insurance agent kaise bane se related sare question aapke khatm ho gaye hoge.

yadi aapko moto insurance agent banne me ya kisi bhi trah ka koi question hai to aap mujhse contact kar sakte hai ya is post ke neeche comment karke bata sakte hai.

ya fir aap mujhse seedhe Instagram me judkar apna question pooch sakte hai.

5/5 - (1 vote)
2 Shares

Leave a Comment