jab bhi aap Videsh jaate hai ya to kisi work ki wajh se ya kewal tourist purpose se aap jis bhi country jana chahte hai us country ka visa jarurri hota hai isi baare me hum padhege ki visa kya hota hai aur yah kaise milega.
Visa Kya Hai
Visa ek trah ka document hota hai jo us country dwara issue kiya jata hai jaha bhi aapko jana hota hai.
Visa ka full form Visitors International Stay Admission hota hai.
yani ki visa ek aisa document hai jo aapko yah btata hai ki visitor kitne din stay kar sakta hai aur ek trah se use us country me rahne ke liye authorized kar diya jata hai.

international travel yani ki foreign travel karne ke liye aapke pass 2 document hone chahiye pahla hai Passport aur dusra Visa.
inme se passport ko aap jaldi banwa sakte hai. aur passport paana ashan bhi hota hai lekin visa ashani se nahi milta hai. aisi bahut sare desh hai jo visa asani se bhi de dete hai.
lekin kuch aisi country bhi hai jo visa bahut hi muskil se deti hai jaise United state of America ka visa paana muskil maana jata hai.
visa banane me kitna paisa lagta hai
yah ek aisa question hai jo bhi bahut logo ke man me hota hai ki visa banane me kitna paisa lagta hai.
Yah to aapko pata hi hoga ki hamare desh me Passport ki Fees 1500 INR hai aur alg alg countries me passport ki fees bhi alag alag hoti hai. theke isi trah Visa ki fees bhi sabhi country ki fees alag alag hoti hai.
neeche aapko chart me kuch countries ke tourist visa ki fees btai hui hai. jise aap dekh sakte hai.
United Arab Emirates | 6102 INR |
Australia | 9132 INR |
Singapore | 21090 INR |
Europe | 999 INR |
Japan | 2090 INR |
Malaysia | 1836 INR |
South Africa | 2631 INR |
Turkey | 9680 INR |
Thailand | 1684 INR |
ye kuch countries ki visa ki fees hai aur sabi fees alag alag hai. yah tourist visa ki Fees hai.
- Meesho app se paise kaise kamaye
- Travel Vlogger ka
yadi aapke pass Indian passport hai hai to aap kuch countries ko bina visa ke visit kar sakte hai.
Countries To Travel Without Visa From India
- Nepal
- Bhutan
- Hong kong
- Mauritius
- Maldives
- Cambodia
- Jordan
- Macau
- Bolivia
- Jamaica
- Fiji
- Haiti
- British Virgin Islands
- Micronesia
- Saint Kitts and Nevis
- Saint Vincent and the Grenadines
- Republic of Trinidad and Tobago
- Commonwealth of Dominica
- Vanuatu
- Turkish Republic of Northern Cyprus
- Turks and Caicos Islands
- Kish Island
- Cook Islands
- Pitcairn Islands
- Montserrat
visa kitne prakar ka hota hai
wese to Visa alag alag condition par bahut trah ke issue kiye jaate hai lekin me aapko yaha par kuch visa ke baare me btaunga jinke baare me aapko jankari honi chahiye.
1. Transit Visa
yah Visa un logo ko diya jata hai jo kisi country me sirf kuch ghanto ke liye visit karna chhate hai. aur yah visa 72 Hours ke liye valid hota hai. jab aap ise apply karte hai to aapke pass confirm return ticket hona jaruri hai.

aur yah visa jadatar tab milta hai jab aapka layover(waiting time) international flight me jada hota hai. jaise yadi aapko India se Canada visit karna hai aur aapki Flight Dubai hokar jaati hai. aur wah flight udhar 5 hour’s se bhi jada time ke liye rukegi.
aur us time aap apna airport chhodna chahte hai to apako transit visa ki jarurt hogi.
ab aap samjh gaye hoge ki transit visa kya hota hai. aur jab bhi apa travel kare to ek baar apni airline se confirm kar le kyoki har ek country ka rules alag ho sakta hai.
2. Student Visa
jaisa ki naam se hi pata chal raha hai ki yah Visa kewal unhe diya jata hai jo padhia karna chahte yani ki student hai. aur jis bhi country me wo apni study karna chahte hai udhar ke liye Student visa apply kar sakte hai.

jaise yadi aap Germany ka student visa apply karna chhate hai to aapke pass Blocked account, offer Letter, Language certificate aur Travel Insurance hona chaiye.
3. Tourist Visa
Yah ek aisa visa hai jo ashani se mil jata hai aur iske liye adhik document ki bhi jarurat nahi hoti hai. jab aap kisi desh kewal ghumne yani ki us country ko aapko explore karna hota hai.

tab aap Tourist visa ko apply karte hai is visa ko apply karne ke baad aap waha kewal ghoom sakte hai kisi bhi trah ka business ya job nahi kar sakte hai.
Tourist visa jab aap apply karte hai to jis bhi country ka tourist visa aap apply karte hai udhar ki embassy ko aapko apni return ticket aur aap kaha rukhege iske baare me bhi inform karna hota hai.
4. Business Visa
yah visa tab diya jata hai jab aap kisi country me aap business karna chahte hai. aur aap yah business us country me kaise karege iska letter bhi aapko dena hota hai.
saath hi aap wah business us country me kis city me karege yah bhi batana hoga aur aapko apni earning ka bhi source dena hoga.

aur ya fir aapke pass koi acchi company me job hai to bhi aapko business visa diya ja sakta hai. aur yah 4 mahine se 10 saal tak ka ho sakta hai.
ise baad me aap renew bhi kara sakte hai. aur yah visa bhi aapko embassy me jakar apply karna hota hai.
5. On arrival visa
On arrival visa wah visa hota hai jaise yadi aap ek Indian passport holder hai aur aapke pass ek valid passport hai to aur aap Thailand visit karna chahte hai.

to aap jaise hi Thailand pahuchege waha par aapko on arrival visa mil jayega ise e visa bhi kahte hai. ise aap online bhi apply kar sakte hai. jisse aapko line me wait nahi karna hota hai. ab aap samjh gaye hoge ki visa on arrival kya hai aur yah kai baar Free me bhi mil jata hai.
6. Marriage Visa
yah visa tab diya jata hai jab kisi or desh me marriage karna chahte hai yadi aap India me rahte hai aur aap Canada me kisi ladki se shadi karna chahte hai to use idhar bula sakte hai aur iske liye Canada me India ki embassy me jakar marriage visa ko apply kar sakte hai.
7. Immigrant visa
yah visa aapko tab diya jata hai ya aapko apply karna hota hai jab aap apni country ko chhodkar kisi dusri country me rahana chahte hai tab aap immigrant visa diya jata hai.

yah visa kewal single journey ke liye hi valid hota hai. aur ise lene se pahle aapko yah sure hona padega ki jis country ke immigrant visa ke liye apply kar rahe hai wah iske liye aapko approval de degi. ab aap samjh sakte hai ki employment visa kya hota hai.
8. Diplomatic Visa
Jis trah se kisi bhi country me diplomatic Passport har ek citizen ko nahi diya ja sakta theek usi trah diplomatic visa me bhi hota hai yah visa kewal Government se related logo ko diya jata hai.
in Visa ke alwa bhi alag alag country me alag trah ke visa hote hai. chaliye ab baat karte hai India me kitne types ke visa hote hai
Types of Indian Visa
- Tourist Visa
- Employment Visa
- Entry Visa
- Business Visa
- Student Visa
- Journalist Visa
- Film Visa
- Conference Visa
- Medical Visa
- Research Visa
- Emergency Visa
Asia countries ke alwa Africa USA me bhi Visa kuch alag trah ke hote hai chaliye unko bhi jaante hai.
Schengen Visa Kya Hai
Schengen Visa ek short time ke liye visa hota hai aur is visa ko lene ke baad aap schengen me aane wale kisi bhi area me travel ya business kar sakte hai.

Schengen Area me Europe ke 26 Countries me travel kar sake hai. in countries ke naam hai.
Austria | Hungary | Norway |
Belgium | Iceland | Poland |
Czech Republic | Italy | Portugal |
Denmark | Latvia | Slovakia |
Estonia | Liechtenstein | Slovenia |
Finland | Lithuania | Spain |
France | Luxembourg | Sweden |
Germany | Malta | Switzerland |
Greece | Netherlands |
in countries me aap uske baad travel kar sakte hai.
Azad Visa kya hota hai.
azad visa ise working visa bhi bole hai ise aap apni working company ke dwara paa sakte hai.
is visa ke milne ke baad aaap kisi ek company me nahi balki ek se adhik company me bhi work kar sakte hai.
h1b visa kya h.
yah visa United State of America ke dwara issue kiya jata hai yadi aap America me 6-year se adhik koi business ya job karna chhate hai to aap iske liye apply kar sakte hai.
aur iske rules thodi kathin hai aur yah paana bhi muskil hai lekin Indian government ki kosis hamesa rahi hai ki is process ko easy kiya jaye.
Note: H1B use ko Covid-19 ki wajah se temporary suspand kar diya gaya hai.
iske alwa bhi visa ke baare me kuch aise question hai jo sabse jada pooche jaate hai unhe bhi dkehte hai.
Visa ka full form kya hai?
Visitors International Stay Admission.
e visa kya hota hai?
jab aap visa online apply karte hai tab use e visa kahte hai.
Conclusion
Visa ke baare me aapko yah post jarur pasand aai hogi yadi aapke man me koi questin hai to aap neeche comment karke pooch saktea hai aur ise apne dosto ke saath bhi share kariye.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul
Visitor Rating: 5 Stars