courier franchise kaise le, courier franchise apply 2023

Hello Dosto kam investment me acche business idea me courier franchise kaise le yah bahut hi trending hai. aur iske benefits bahut hai to aaj hum isi baare me janege ki courier agency kaise le aur iska kya process hai.

courier franchise ek bhaut hi accha business idea hai. aur iska kitna scope hai ise batane ki jarurat nahi hai. aaj ke time par bahut sari new e-commerce companies open ho rahi hai. aur logo ke shopping karne ka tarike change ho gaya hai.

courier franchise kaise le
courier franchise kaise le

aajkal sabhi log Online product order kar rahe hoge pahle yah kewal bade bade city me hi hota tha lekin ab ek chote se chote village me bhi aap yah dekhege ki log products ko online buy kar rahe hai.

jab itne sare new user internet se connect ho rahe hai aur wo roj new product ko order kar rahe hai to companies ko courier services ki bhi jarurt padti hai.aur yah aapke liye ek acchi business opportunities hai.

courier company ki franchise ke dwara aap India ke badi e-commerce company Flipkart aur Amazon ke saath kaam kar sakte hai. aur unke products ki delivery kar sakte hai.

ab jaante hai ek safal Courier Service Kaise Start Kare aur ise profit me chalaye.

Courier Company Kaise Khole

yadi aap apni khud ki ek courier company ko banana chhate hai to uske liye aapko bahut sara paisa invest karna hoga. aur iske liye aapko

apni company ka naam jo bhi bhi aapko rakhna ho us naam se aap apni private limited company ko register karwa sakte hai. uske baad aapko apni company ke liye promoter ko dhudhna hoga jo aapki company me invest kare.

halaki naye startup ko jaldi promoter nahi milte hai iske liye aapko mehnat karni padegi. jaise hi aapko promoter mile aap apni company ko stock market me list kara sakte hai. aur apni company ke share issue karakar aap apne investers aur promoter ko share de sakte hai.

iske baad apke pass fund aa jayega. aur use aap aapni company ko aage badhane ke liye use kar sakte hai.

yah to baat hui ki courier company kaise khole ab dekhte hai.courier franchise kaise le aur iska process.

courier franchise kaise le

yaha par aapko kisi aisi company ki courier franchise leni hai jo company pahle se kaam kar rahi hai aur isme aapko bahut jada investment karne ki jarurt nahi padegi.

jab bhi aap courier franchise lege aur aap jis bhi company ka courier franchise lena chhate ho India ki kuch popular companies ke baare me aapko neeche bata raha hu inmse se aap kisi bhi company ki courier agency le sakte hai.

me aapko yaha par aapko ecom express courier franchise kaise le is baare me btaunga. sabka process ek jaisa hi hai aap chahe kisi bhi company ka franchise lena chhahe

sabse pahle aapko Ecom express ki Official website par aana hai. aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega.

ecom express courier franchise
ecom express courier franchise

iske baad aapko Contact Us par click karna hai. uske baad aapke saamne post your query ka option aayega aur aapko waha par Partner with us ko select karke apni personal details ko share kar dena hai.

iske baad company ki tarf se aapko call aayega. aur wah information aapki verify karege.

sabhi companies ke liye yahi process hota hai aapko unki official website par jana hai aur contact us ya partner with us me jakar aapko apni details deni hai.

Courier Franchise ke liye Requirement

kisi bhi courier company ki franchise ke liye unki tarf se kuch ruels aur requirement hote hai aur yah har ek company ke alag alag ho sakte hai.

yadi aap franchise lena chahte hai to aap is Course ko purchase kar sakte hai. jo aapki help karega courier franchise se related problem me.

isme aap BUY NOW par click karke ise purchase kar sakte hai.

ab me aapko yaha par kuch requirement ke baare me bata raha hu jo sabhi company me hote hai.

#1 Security Deposit

jab bhi aap registration karayege to aapko company ko ek security deposit amount deni padti hai yah amount 15K se 50K ya isse kam aur adhik bhi ho sakti hai.

bahut sari companies me yah security deposit refundable hota hai. aur aap jis company se courier agency le rahe hai usse confirm kar le.

#2 Working Land / Office Land

aapka office 150 se 350 sq. feet jagh hona chahiye iske alwa aapke pass aapke office me internet connectivity hona jaruri hai. aur ek meeting room hona bhi jaruri hai.

yah office aapka Ground floar par hona jaruri hai. yadi yah ground flor par nahi hai to aapke working land ko reject kiya ja sakta hai.

#3 Agreement

jab bhi aap kisi bhi company ke saath kisi bhi field me work karte hai aapke pass Agreement hona jaruri hai. aur courier agency ki franchise ke liye bhi agreement hota hai.

aur is agreement me jo bhi terms and conditions hoti hai unhe aapko follow karna jaruri hota hai. aur agreement ki terms aur conditions alag alag company ki alag alag ho sakti hai.

aur yadi aapko agreement ke baare me koi bhi doubt hai to aap company se direct contact karke pooch sakte hai.

ab aap samjh gaye hoge ki Flipkart franchise kaise le aur iske liye aapko kya kya karna hota hai ab baat karte hai documents ke baare me.

Courier franchise ke liye documents

iske liye aapke pass sare documents hona jaruri hai aur apply karne se phale inhe jarur check kare.

ye wah documents the jo aapko courier company ko submit karne hoge

courier franchise cost

courier franchise start karne ke liye isko run karne ki jo bhi cost hoti hai wah aapki location aur aapne kisi company se courier ki agency li hai us par depand karta hai.

is cost me aapke agreement ka bhi cost hota hai saath hi aapko kuch employee bhi hire karne hoge aur delivery boy (Wish Master) bhi aapko hire karne hoge. jinki salary aapko deni hogi.

ab baat karte hai un galitiyo ke baare me jo log courier franchise milne ke baad karte hai aur in galtiyo ko aapko nahi karna hai.

har ek product ko aapko time par delivered karana hoga. aur yadi aapki complaint bahut adhik company ke pass pahuchi to aapko blacklist bhi kiya ja sakta hai aur aapki jagh kisi aur ko franchise de di jayegi.

aapki team ka behaviour bhi accha hona chhaiye yadi aapki team khaskar wish master ka behavior accha nahi hai to us wajh se bhi aapko kharab feedback milege jiska impact aap par bhi pad sakta hai.

ab aap samjh gaye hoge ki courier agency ko kaise open karna hai aur ise kaise chalana hai.

Alert

Courier agency yani ki courier franchise ke liye market me bahut sare fraud ho rahe hai aapko in fraud se hamesa hi bachna hai aur direct company se hi baat karni hai.

kisi bhi agency se bache jo aapko yah promise kare ki wah aapko courier franchise de degi kyoki isme fraud ke chance bahut hi adhik hai. isliye company ki official website par jakar hi apply kare.

saath hi email par contact karte time company ki sahi email id par hi email kare aur apni details de.

aur yadi aapke sath kisi agency dwara ecom franchise ya meesho franchise kaise le is trah ki query ke baad fraud hota hai to aap hame contact karke bhi bata sakte hai.

Conclusion

ek safal courier company kaise khole aur courier agency kaise khole is baare me aapko poori jankari mil gai hogi.

yadi aapke man me ab bhi koi doubt hai to aap comment karke pooch sakte hai yah aap mujhse seedhe Instagram me judkar bhi apna question pooch sakte hai.

5/5 - (2 votes)
0 Shares

14 thoughts on “courier franchise kaise le, courier franchise apply 2023”

    • सर मेरा नाम मोहम्मद शकील है
      क्या मूझे मिश्शो की फ्रेंन्चचाजी मिल सकती है

      Reply
  1. सर मुझे मीशो का फ्रेंचाइजी चहिए मिल सकता है पिनकोड 841437

    Reply
  2. Hello sar namaskar my name is Sagar Patil main Shaw courier franchise ke recording baat karna chahta hun sar aapse please help Karen hamara location area pin code Khali hai sar Abhi 425502 .425503. 425508

    Reply
  3. Hello sar namaskar my name is Sagar Patil sar main Maheshwar recording baat karna chahta hun mujhe courier franchise ki recording baat karni hai company ki or se hamare location per pin code Khali hai Maharashtra mein Jalgaon district aur pin code hai sar 425502. 425503 .425508

    Reply

Leave a Comment