Flipkart Plus kya hai flipkart plus membership kaise le

Dosto aaj aap padhege Flipkart Plus kya hai aur yadi aap Flipkart plus coins kya hai aur kaise kaam karta hai aur iske baad aapko Flipkart free delivery kaise milegi  aur Flipkart plus membership aur bhi bahut kuch aap isi post me padhege.

sabhi E-Commerce companies me competition bahut jada hai abhi isliye sabhi apne customer ko banaye rakhne ke liye aisi bahut sari service’s deti hai jisse unke customer badhe isliye wo is trah ki service’s laati rahti hai aur aisi hi services Amazon ne bhi launch ki thi.

aap sabhi online shopping to karte hai aur hum ab bahut sare product online hi purchase karte hai aur yadi aapko usi me kuch extra mile to yah aapke liye acchi baat hogi aur ek aisi hi service Flipkart ki hai.

Flipkart Plus kya hai

Flipkart ne yah service 15 August 2018 me suru ki thi aur yah ek tarh ka flipkart ka membership plan hi hai jise Flipkart plus kaha jaata hai aur yadi aap Flipkart se regular shopping karte hai to yah aapke liye ek valuable royalty program hai.

Flipkart plus kya hai

yaha par aapko flipkart plus coins milege aur aapke coin jaise hi aap flipkart se shopping karte rahege aapke coin’s badhe jayege aur yah service poori trah se free hai. flipkart plus membership ke bahut saare benefits bhi hia jinke baare me aap isi post me padhege.

aur yah service poori trah se Flipkart ne Amazon ke prime ko takkar dene ke liye ise launch kiya hai. halaki isme Amazon ki trah Video streaming ki service nahi di gai hai lekin Amazon Prime ke liye aapko 999 Rs dene hote hai jabki yah poori trah se free hai.

yah bhi padhe

How to get flipkart plus membership free

Flipkart ne Flipkart plus membership sabhi ke liye free nahi di hai hai aur aapka question how to get Flipkart plus membership free yah selected account par hi free me di gai hai.

aur yadi aur yadi aapko free me nahi mil to aapko 50 Coins pahle earn karne padege uske baad jab aapke account me 50 coin ho jaate hai to aap un 50 coins ko exchange karke Flipkart plus membership le sakte hai.

Flipkart membership Join

yadi aapke 50 Coins ho gaye hai ya aapko Flipkart ki tarf se Free me hi Flipkart membership di gai hai to ise check ya join karne ke liye aapko sabse phale Flipkart ki website par jana hoga.

aapko 50 Coins se join karne ke baad aap aapke pass Flipkart Plus Membership mil jayegi jiske baad aap aapne flipkart account ko access kar payege.

Flipkart plus membership benefits

Flipkart Plus membership ke bahut sare benefits hai jisme se kuch benefits aapko free me milege aur baaki benefits ke liye aapko 50 Flipkart coin use karne  hoge tabhi aap unka use kar payege.

Isme abhi ye offers hai jo ki aapko banner par show ho rahe hai. ye offer time time par update hote rahte hai. aur isme kuch naye brands bhi aate rahte hai.

Youtube Premium

aapko youtube premium ki membership 150 Coins par aapko 6 month tak ki youtube prime ki membership mil jayegi.

Gaana Plus –

isme aapko Gaana Plus ki services use karne ke liye milegi aur ise lene ke liye aapko 100 Coins spend karne hoge.

saath hi aapko Zee5, Unlu, Alt Balaji, MPL, aur Diseny Hotstar etc ka bhi subscrption aap pa sakte hai.

Free Plus Fast delivery

isme sabse bada benefits hai Flipkart free delivery ka jo aapko membership me milegi iske baad aapse delivery charge nahi liya jayega. Flipkart par yadi aapke pass membership nahi hai to aapse 500 Rs ke under purchase karne par aapse delivery charge liya jayega.

lekin membership ke baad delivery charge free hoga lekin yah kewal assured product me hi aapko free delivery milegi. aur yadi aap kisi Metro city me rahte hai to aapko Flipkart one day delivery dekhne ko bhi milegi.

Exclusive Acess to sales

Flipkart plus membership ke benefits me aapko kisi bhi sale ka early access milega jisse aapko ab wait karne ki jarurt nahi padegi aur aap koi bhi product purchase kar paayege jo ki Flipkart me Exclusive access me hoga.

Priority Customer Support

aapko ab Customer supports me priority milegi aur aapko customer support me call karne ke liye jada time tak wait nahi karna hoga.

Exchange Coin Offer

yadi aapke 50 Coin se adhik coin ho jaate hai flipkart plus membership join karne ke baad to aap un coins ko exchange karke aur bhi offers ka fayda utha sakte hai.

ye sabhi offer aapko flipkart plus membership me diye jayege ab aap samjh gaye hoge ki Flipkart Plus kya hai hai yah kaise kaam karta hai.

how to use flipkart coins

Flipkart coin ko use karna bahut hi asan hai jab flipkart plus membership join karne ke baad aapko 50 coins ki jarurt aur padegi uske baad aap 50 Coins me se ye offer reedom kar sakte hai.

flipkart plus membership join offer ki yadi baat kare to aapko ye benifits milege.

flipkart coin value

yadi baat kare flipkart coins value ki to aapko 250 Rs ke product ko order karne par aapko 1 Coin diya jayega, aur aap ek baar me maximum 10 coin hi paa sakte hai , isse jada coin aapko ek order me nahi milege.

aur yadi aapke man me abhi bhi koi question hai Flipkart Plus kya hai ya flipkart plus coins kya hai to aap neeche comment karke pooch sakte hai ya fir aap Flipkart ke flipkart plus membership ke fourm me pooch sakte hai. aur flipkart plus ka aap official video bhi dekh sakte hai jise flipkart ne hi relase kiya hai.

Conclusion

Flipkart me customer regual shopping kare iske liye flipkart ya proggram bahut hi accha hai aur customre apne coin ko badhane ke liye Flipkart se shopping karege jisse flipkart aur customer dono ka hi fayda hoga .

aur yadi baat kare amazon prime aur flipkart flipkart plus membership me to amaozn paid hai jiske liye aapko 999RS dene hoge jabki iske liye aapkp paise nahi dene padege aap neeche comment karke btaiye ki yah post aapko kaisi lagi.

yadi aapke man me koi bhi question hai Flipkart Plus kya hai Flipkart plus coins kya hai Flipkart plus membership Flipkart coin rewards ke baare me to aap neeche comment karke pooch sakte hai.

Trending Post

5/5 - (4 votes)
0 Shares

Leave a Comment