instagram follower badhane ke tarike

Dosto aaj hum baat karege Instagram ke baare me jo ki photos or video’s ko share karne ka bahut hi popular platform hai, saath hi instagram follower badhane ke tarike ke baare me bhi baat karege.

Yadi baat kare Instagram ki to yah 6 October 2010 ko aaya tha jab iske CEO Kevin Systrom, Mike Krieger the iske baad ise Facebook ne 9 april 2012 ko $1B me Instagram ko acquired kar liya Instagram ki Global Rank 14 hai jo ki bahut hi acchi hai.

instagram followers kaise badhaye in hindi

yadi aap Instagram ke baare me or adhik janna chhate hai to aap wikipedia me padh sakte hai, Instagram me sabhi log chhate hai ki unke followers kaise jaldi se badhe or isi ke liye log instagram par follower kaise badhaye ke baare me sochte rahte hai.

instagram follower badhane ke tarike

Instagram me follower badhane ke wese to bahut se tarike hai or unhi tariko ke baare me hm aapse baat karege. jaise hi aapke follower badhte jayege Instagram aapke account ko logo ko or recommended karega.

kyoki Instagram ka algorithm si trah hi kaam karta hai to chliye baat karte hai kuch tariko ke baare me jinki madam se aap apne Instagram followers ko badha sakte hai

Paid Follower

yadi aap apne Instagram follower ko bahut hi jaldi badhana chate hai or aapki post me kuch bhi aisa nahi hai ki jo viral ho sake to fir kewal aap paid follower ki madad se hi aap apne Instagram follower badha sakte hai.

market me aisi bahut sari website hai jinse aap apne ya apne brand account ke liye follower ko kharid sakte hai lekin aise follower badhane ka dosto koi bhi fayda nahi hota hai balki aapka nuksan hi hota hai.

Yadi aapne bhi paid follower kharide hai to aapko utne likes hi nahi milege kyoki jin accounts se aapko follow kiya jata hai wo kewal follow karne ke liye hi bahut sari companies ke dwara banaye jaate hai jinse unhe lambi earning hoti hai or aapke wah follower kab tak rahege.

yah bhi jaruri nahi rahta hai . yadi aap Google me search karege buy instagram followers cheap to aapko bahut saari website milegi jo Instagram follower sell karti hai .

Promote Account

Instagram me followers badhane ke liye yadi aap kisi Paid Mehtod ka hi use karna chahte hai to aap apne Instagram account ko promote kar sakte hai.

aur yah poori trah se genium hai. iske liye aap Campaign chala sakte hai jiske liye aapko Instagram ko paise dene hoge.

Note : Instagram Followers ko sell nahi karta hai yadi aap Account Promote bhi karte hai to wah aapke Account aur aapki Post ko logo ko Suggest Karega.

Real Follower

dosto ab baat karte hai Instagram par follower badhane ke tarike ke baare me jiske liye aapko kuch bhi invest karne ki jarurat nahi hai. ab ham aapko Instagram par real follower badhane ke tariko ke baare me batayege.

Use Hashtag

Dosto jab bhi aap koi bhi post kare aapko waha par Hashtag (#) jarur lagane chahiye kai baar bahut saare instagram users instagram hashtags copy paste karte rahte hai jise me khrab nahi kahunga yah isliye accha hai kyoki wo user kam se kam hashtag ka use to kar raha hai

instagram me followers badhane ke tarike

or isme kisi bhi trah ka copyright nahi hota hai haa aapko dhyan yah jarur dhyan rakhna chahiye ki jo bhi aaapne hashtag lagya hai usse related aapki post jarur honi chahiye.

aap apni post or year ke anusar hashtag laga sakte hai. aur trending hashtag ka use bhi aap kar sakte hai.

instagram par followers badhane ke tarike
Instagram post hashtags

hashtag ka use karne se post bahut saare logo tak pahuchti hai or ab instagram me aap kisi bhi hashtag ko follow bhi kar sakte hai yadi aapne apni photo me hashtag lagaya.

or us hashtag ko yadi koi follow kar raha hai to wah aapko bhi folllow kar sakta hai kyoki use us hashtag ki post ya account acche lagte hai.

Story secrets

Dosto yadi aap apne Instagram followers increase karna chahte hai to aapko Instagram story ka use jarur karna chahiye story or aapko apni instagram story me in chizo ka bhi dhyan rakhna chahiye.

Location

Dosto kai baar aisa hota hai ki aap bahut baar kahi ghumne jaate hai or aap waha se apni story daalte hai to aap jis jagah par hai or yadi aap story daal rahe hai or yadi aapka location na batane ka koi reason nahi hai to aapko apni story me location ka jarur use karna chaiye.

yadi aap location ka use karege to us jagh ke baare me jo bhi log search karege ya us jagah par hoge wo aapki stroy ko aashani se dekh payege yadi aapko wo follow bhi nahi karte fir bhi isse wo aapko follow bhi kar sakte hai. or isse aapke free Instagram followers instantly badhege.

or aapko apni location ke hisab se hashtag bhi use karna chaiye jo travel hashtags Instagram hone chahiye or hashtag ko aapko bahut chota kar dena chaiye kyoki kai baar hashtag ki wajh se story khrab lagne lgti hai.

Followback

Dosto Instagram followers ko badhane ke liye aapko follow back par bhi dhyan dena chahiye follow back ka matlb yaha par yah nahi hai ki aap kisi ko follow karo or usse follow back karne ko kahe jo bhi aapko follow kar rahe hai

yadi aap unhe follow karege to uska notification unke followers ko bhi pata chalega or yadi unke followers me se koi aapko pahchnata hai to wo aapko bi follow kar lega or yadi nahi bhi karega to aapka account suggestion me jarur dikhega.

Story share

apne account ki setting me aap ek baar jarur check kar le ki kya aapne story share ke feature ko band karke to nahi rakah hai, story share tab kaam aata hai jab aap koi bhi story daalte hai to wo logo ko dikhti hai.

Instagram Story
Instagram Story

or yadi wo apne kisi friend ke saath aapki story share karna chahte hai to unhe share ka option dikhai de yadi wo kisi ke saath share karte hai to unhe aapka username or aapki profile dikhegi jisse aapki reach badhegi.

yadi Instagram ke baare me or bhi kuch janna chahte hai to mene neeche kuch books ke link diye hai jinse aap iske baare me or adhik jaan sakte hai wese yah jaruri nahi hai ki har koi aapki story ko share kare yadi aapki story me kuch accha hoga to jarur aapki story ko share karege.

 Use igtv (Instagram TV)

Instagram ne IGTV ko 20 June 2018 me Launch kiya tha aur iske liye instagram ne ek alag app bhi develop bhi ki thi Instagram apne IGTV ki madad se Youtube ko takkar dene ki soch raha tha lekin

aisa kuch bhi nahi hua aur IGTV utna hit nahi hua jitna Instagram ne socha tha lekin aapko apne instagram followers badhane ke liye yah ek accha tarika hai.

instagram TV
instagram tv

yadi aap video share karte hai to aapko instagram TV me bhi apna Chanel banana chahiye isme aap 10 Second se lekar 10 MInute tak ke vertical Video banakar Upload kar sakte hai.

yadi aapka koi bhi video viral hota hai to isse aapka Instagram Account bhi acchi trah se boost hoga .

IGTV ke baare me yadi aap aur bhi adhik padhna chahte hai to aap Instagram ke Official Blog ki Welcome to IGTV post ko padh sakte hai.

Link Social Account

yadi aapka instagram account facebook ke accounts se bana hai to jo bhi aapke facebook friend’s hoge isntagram unhe aapke account ko suggest karega or yadi aapne apna account facebook se nahi banaya.

Instagram followers badhane ke tarike
Instagram Linked Accounts

or aapke pass facebook ka account hai to aap use Linked Accounts me jakar link kar sakte hai. Instagram me aap apne Facebook , Twitter, tubmblr, Ameba, Facebook ko link kar sakte hai .

Instagram giveaway

Instagram me apne followers increase karne ke liye aapko giveaway karna chahiye aapne giveaway apne favorite creator ya brand ko karte dekha hi hoga.

Giveaway jadatar aapne Youtube me bahut hi adhik dekhe hoge theek wese hi giveaway Instagram me bhi hote hai lekin Instagram me giveaway abhi utna popular nahi hai.

lekin bahut sare bade Brand apne Followers ko increase karne ke liye giveaway ka istemal karte hai. jinsse unki Brand aur post dono hi boost ho jaati hai.

instagram giveaway
Instagram giveaway

Starbucks ek bahut hi bada Brand hai lekin wo bhi Giveaway karta hai isse aap andaja laga sakte hai ki yah ek bhaut hi useful tarika hai apne Instagram followers ko badhane ka.

aur yah abhi bhi work karta hai.

4.5/5 - (2 votes)

Trending Post

1 Shares

2 thoughts on “instagram follower badhane ke tarike”

Leave a Comment