Dosto podcast kya hai yah question India ke liye bahut hi naya hai aaj is post me aapko bataunga aakhir podcast kya hota hai.
jaise aap internet par Youtube par video dekhte hai wo video kisi bhi website ya streaming website par ho sakta hai. usi trah aap songs bhi sunte hai.

Podcast India ke liye abhi aap bahut hi naya hai aur duniya ki devloped country jaise America, Australia jaisi country me yah bahut hi popular hai aur log podcast udhar bahut hi adhik sunte hai.
India me podcast abhi naya hai lekin yah dheere dheere bahut hi tezi se grow kar raha hai.
aap neeche diye gay infographic se samjh sakte hai ki podcasting ki industry kitni boom par hai aur iska kitna use ho raha hai.

India me bahut sare digital marketing agency ab podcast karti hai. aur bahut sare Blogger aur entrepreneur bhi karte hai isme koi limitation nahi hai koi bhi podcast kar sakta hai.
Podcasting Kya hai
Internet par jab content aap Audio ke formot me consume karte hai wahi podcast hota hai. yadi content written me hai to use aap Blog ya website kahte hai.
aur yadi video me hai to wah video content hoga lekin yadi wah audio me hai to wah podcast kahlata hai.
aur isi audio ko jab hum online kahi upload karte hai ise hi podcasting kahte hai.
Podcasting Kaise suru kare
podcasting suru karne ke liye aapko kisi na kisi platform ki jarurt padegi. iske liye internet me bahut sari website hai jo podcast karne deti hai jinme se kuch website free hai aur kuch paid.
me aapko ek aisi website ya platform btaunga jo bilkul free hai . aur iska naam hai Anchor yah free aur bahut hi popular hai.
iska homepage kuch is trah ka dikhta hai aur iska mobile app bhi hai.

isme Sign Up karke aap apna account bana sakte hai aur apni podcast ko live kar sakte hai. yah bahut hi asan hai.
yadi aap anchor ke baare me aur adhik janna chhate hai to aap comment kar ke bata sakte hai.
Podcasting Ke liye kya chahiye
podcasting karne ke liye aapko alg se kuch bhi nahi chahiye yadi aapke pass ek phone hai to aap us phone me audio record karke podcast suru kar sakte hai.
lekin yadi aap use bahut hi professional tarike se karna chhate hai to aapko mice ki jarurat to padegi hai aap ye dono mice kharid sakte hai jinki audio quality bahut hi acchi hai.
Boya BYM1 Condenser Microphone
yah ek bhut hi accha mice hai yah kuch is trah ka dikhta hai ise aap Amazon se kharid sakte hai.

iske alwa podcasting me jo sabse popular mic hai wah hai blue yeti yah ek bhaut hi mic hai yadi aapka budget aapko allow karta hai to aap is mice ko bhi kharid sakte hai.
wese iska price kam jada hota rahta hai aap best price par ise kharidne ke liye yaha iske bare me padhne ke liye Amazon par jakar kharid sakte hai.
Podcast ko edit kaise kare
jaise hi aapne apna audio yani ki podcast ko record kar liya usme aapko bahut bar edit karne ki jarurat paddgi to audio ko edit karne ka option aapko Anchor me milta hai.
aur aap chahe to aur bhi third party app ki madad le sakte hai aur yadi aap Windows user hai to aap Audacity ya aur bhi kisi bhi software se edit kar sakte hai.
Podcast ke fayde
Podcast kya hai yah kaise kaam karta hai iske bare me to hum samjh hi gaye lekin podcasting ke fayde kya hai yah bih samjh lete hai.
Earn money
aap podcast se paise kama sakte hai aur jab aap isme popular hoge to aapko bahut sare brand partner karna chahege aur aap unko apni podcast me feature karke paise kama sakte hai.
aur India me bhi bahut jaldi apne brand ko promote karne ke liye log podcast par bhi apna advt. karege.
Brand awareness
yadi aapki podcast viral hui aur aap acche topics par podcast karege to aapko log sunege aur aapki authority google ki najro me badhegi.
Recurring Earning
isme aap har mahine paise kamayege aur aapki podcast acchi hui to log aapko support karege aur wo aapko donation bhi dege jaise anchor me stripe ke dwara payment hoti hai.
User Engagement
isse aapke Blog ya Youtube chanel par engagement badhegi aur apka watch time bhi badhega jise aapke blog ya youtube chanel ke saath saath aapki podcast recommend bhi adhik logo ko hogi.
Podcast future in India
podcast ko aap India me yah kah sakte hai ki yah Beta stage par hai aur yah bilkul naya platform hai dheere dheere yah grow hoga. aur ise log pasand karege.
badlti lifestyle me yadi wah Blog padhta hai ya youtube par video dekh raha hai to wah baki ke koi kaam asani se nahi kar sakta lekin podcast me aisa nahi hai wah bus metro me bhi podcast ko asani se sun sakta hai.
aur isi wajh se podcast bahut hi popular hai. yadi aap ab iske bare me itna kuch jaante hi hai to aapko podcast karna start kar dena chaiye yadi aap aaj nahi karege to ho sakta hai iske liye fir aapke saamne comptetion bahut adhik ho jaye.
yadi baat kare competition ki to Blog aur Youtube par to bahut hi lekin India me Podcast me na ke barabar hi competition hi hai.
Yadi aap hmari podcast nahi sunte to aapko hmari podcast bhi sunni chahiye aur aap hame follow bhi kar sakte hai.
Conclusion
Podcast ek naya tarika hai hamre liye apne baare me ya kisi bhi topic me baat karne ka. aur future me iski demand bahut hi adhik hogi to aapko iske baare me sochna chahiye.
yah aage chalakr ek accha earning source ban sakta hai.

Hi, I’m Brajesh Singraul Founder of Technical Panna.
Follow me on Instagram @brajeshsingraul