sbi kiosk banking registration online register 2022

Dosto kya aap bhi soch rahe hai sbi kiosk banking registration ke baare me or aap bhi sbi kiosk banking csp kholna chahte hai to is post me hum aapko batayege ki kaise aap sbi kiosknew sbi kiosk bank online registrationbanking registration kar sakte hai.

sbi kiosk banking registration
sbi kiosk banking registartion

is post me hum aapko sbi kiosk banking ke baare me har ek choti jankari dege taki aap acchi trah se ise samjh sake or ise khol sake. sbi kiosk banking kholne ke liye aapko kya karna hoga yah steps me aap neeche padh sakte hai.

sbi kiosk banking details in Hindi

yah to aap sabhi jaante hi hai ki ek sbi ek bahut hi bada bank hai aur yah Bharat ka sabse jada branch wala bank hai. yadi aap kisi badi city me nahi rahte hai lekin fir bhi aapke aas pass aapko sbi bank jarur dekhne ko milega.

aur isi wajh se sabhi log sbi ki ki sbi kiosk banking me bahut jada interested hote hai. sbi kiosk banking details in hindi ki baat kare to yah bank ki trah hi hota hai lekin aapki main branch se chota hi hota hai aur yaha paar apako kuch services chhodkar sari services dekhne ko milegi.

Eligibility for opening csp

sbi csp online apply karne ke liye aapki Age kam se kam 21 year honi chahiye. aapko Computer ke baare me basic information honi chahiye aapka responsible hona jaruri hai.

sbi kiosk banking csp ke naye rule’s ke anusar yadi aap ek unemployed hai to aapko priority di jayegi. aapko kam se kam High School Pass karna jaruri hai.

sbi kiosk banking registration ke liye aapke pass suruat me invest karne ke liye kuch paiso ki jarurt hogi. aap fake currency detector machine bhi rakh sakte hai isse aapka time aur apka nuksan hone ke chances bahut kam hoge.

yadi aap future me bhi acchi fake currency dectator machine lena chhate hai to aap ye machine jo ki certified hai dekh sakte hai  (yadi aapke pass yah nahi bhi hai fir bhi koi dikkat nahi hogi).

Dosto yah wah jankari jo ki sbi kiosk banking csp ke liye aapke pass hona jarui hai iske baad aapko yah janna chahiye ki aapko kiosk banking chalne ke liye kitne infrastructure ki jarurat hogi.

Required Infrastructure kisok bank

kam se kam 150 se 200 sq feet ki dukan hona jaruri hai.aapke pass  2 Laptop ya Computer ka hona jaruri hai  or yah isliye jaruri hai yadi aapke kisi computer me koi problem aati hai.

to aapke pass backup me koi computer rahe taki aapke customers ko problem na ho. aur ek biometric device hona jaruri hai. aapke pass ek printer hona bhi jaruri hai.

iske alwa aapke pass ek Web Camera bhi hona jaruri hai. saath hi kuch companies aapse CCTV Camera ke liye bhi bol sakti hai.

banking security reason se aapke aur aapke customer ke liye yah hona bhi jaruri hai.

Required Documents

Dosto sbi kiosk banking ko apply karne ke liye aapke pass ye sabhi documents hona jaruri hai.

sbi kiosk banking registration requierd document
sbi kiosk banking registration documents
  • Aadhar Card
  • Pan Card
  • Electricity bill
  • Bank Account Passbook & cheque book
  • Resident certificate
  • Character Certificate

yadi aap sbi kiosk banking registration ke saare rules or terms & condition ke baare me jankari chhate hai jo STATE BANK OF INDIA ne banaye hai unhe padhne ke liye aapko bank ki website ko visit karna hoga.

sbi kiosk banking registration fee

yadi baat kare isme aapka kitna investment hoga to aap yah bhi jaan lijiye aapko Laptop Printer Fingerprint Device me to invest karna hi hoga jisme aapka kam se kam aapka 35 se 45 hazar tak ka karcha ho skta hai.

or yadi aap yah Seedhe Bank se naa lekar kisi company se lete hai to us company ki tarf se aapse 15 hazar tak security deposit karna pad sakta hai.

kuch companies me yah amount refundable bhi ho sakti hai aur yadi aap jis bhi company se le rahe hai aur wah aapko refundable amount btaye to unse written me registration karane se pahle likhwa le.

yah sab poora karne ke baad ek million dollar ka question aapke man me aata hai ki aakhir hame sbi kiosk banking registration karana kaise hai Market me aisi bahut si companies hai jo ki aapko sbi kiosk banking csp dilaati hai.

Kisi bhi Fake Company ki bina poori jankari ke liye paise transfer na kare.

lekin aapko apne liye ek acchi company hi choose karni hai. wo kisliye me aapko neeche btaunga to chaliye baat karte hai un companies ki jo aapka sbi kiosk banking registration karane me aapki madad karegi.

  • SBI BANK
  • CSC E GOVERNANCE (DIGITAL SEVA)

iske ala bhi bahut sari private company hai jinse aap contact kar sakte hai aur unke charges bahut hi adhik hote hai. unki poori information lene ke baad hi aap unse registration karaye.

ye kuch companies hai jo ki aapko sbi kiosk banking CSP dila rahi hai aap in companies se contact kar sakte hai yaha par batai gai kisi bhi company ne hame koi bhi paise nahi diye hai or ye sabhi genium companies hai.

sbi kiosk banking registration process

aapko yah bhi pata rahna chahiye ki sbi kiosk banking registration ka yah process kaam kaise karta hai to chaliye is baare me bhi baat karte hai.

sbi kiosk banking ko poora karne ke liye aap jis bhi company ko apna application dege to yah aapke bank me approval ke liye jata hai.

or yadi aap seedhe bank me application dete hai to State Bank of India yah dekhta hai ki aapne jis Branch me wah form Submit kiya hai kya udhr kisi location par koi bhi jagh khali hai ya nahi.

yadi koi jagh khali hoti hai to wo us jagh ke liye aapko authorized kar dete hai or aapke application ko approve karna Bank ke upr hota hai.

yadi wo use kisi bhi wjah se dis approve karte hai to aap sbi kiosk banking nahi khol skte or fir se aapko apna application submit karna hoga.

or yadi aap yahi kisi company se karte hai to apaka bank se approval karna us company ki jimmedari hoti hai.

jaise hi wah approve ho jata hai to aapke kisok banking ke liye aapki Home Branch ki tarf se aapke liye ek unique username or password milta hai jise login karne ke baad aap use access kar sakte hai.

sbi kiosk banking registration form

sbi kiosk banking csp registration ke liye registration form bhi aap fill karke de sakte hai yah form aap apni nearest sbi branch me jakr fill kar sakte hai.

ise aap kisi bhi Branch me jakar Bank manager se le sakte hai ya fir aap ise SBI ki website se bhi download kar sakte hai.

sbi kiosk banking identity card

jab aap kiosk bank ke liye authorized kar diye jayege tabhi aapko ek identity card diya jayega jise sbi kiosk banking identity card kaha jata hai aur yah isliye hota hai ki aapke customer aur jo bhi new customer aata hai wo ye samjh paaye ki aap ek certified kiosk agent hai.

yah aapko jis bhi company se aapne register karaya hai wo aapko yah sbi kiosk banking identity card dilane me madad karegi, yadi wo aapko turant nhi de pa rahe to aapko unse iske liye kahna hoga.

iske alwa bhi kuch aise question h jo aksar pooche jaate (FAQ) hai. wo question hai.

sbi kiosk banking registration fee ?

SBI Kiosk banking fee is Free.

sbi kiosk banking app ?

no sbi kiosk banking app available

Conclusion

Market me aisi bahut si companies hai jo ki sbi kiosk banking registration ke naam par kewal aapke pasie lootne ka kaam karti hai isliye aapko aisi kisi bhi company ya agent ke chakkar me nahi fashna chahiye.

jis company se aap registration kara rahe hai us company ke background or unki services kaisi hai is baare me aapko jarur pata karna chaiye or kisi ko bhi poora amount ek saath nahi dena chahiye.

yadi aap us company par bhrosha nahi karte hai.

yadi aapke man me koi question ya aapko or kuch bhi janna hai to aap neeche comment karke hame bata sakte hai ya aap mujhse seedhe Instagram par sawal pooch sakte hai yadi apane mujhe abhi tak follow nahi kiya to aap @brajeshsingraul par follow kar sakte hai.

5/5 - (8 votes)
0 Shares

7 thoughts on “sbi kiosk banking registration online register 2022”

      • Hello sir mera name Tekram nayak maine bankmitra nam ki company se contact kiya unhe paise bhi de diye hai id bhi de diye hai but mujhe fake lag rha hai unka website kyoki wo id unke website me bas login ho rha hai aor maine unhe pure paise bhi de diye hai koi rasta hai kya jisse mai registration no ko check kar saku jisse mujhe pta lg sake ki mujhse fraud hua hai mai

Leave a Comment