sbi profile password kaise change kare

Namaskar Dosto, aaj ki is post me hum janege sbi profile password kaise change kare yadi aap apen sbi net banking ka password change karna chahte hai to is post ko padhte rahiye yah to aap jante hi hai ki  State Bank of India me sbi profile password and transaction password hote hai.

jaisa ki lagbhag sabhi bank me hota hai yadi aapko apna profile password yaad nahi hai ya fir aap bhool rahe hai to aapko sbi me 3 sbi profile password attempts milte hai or yadi aap iske baad bhi profile password daalte hai to apka account block ho jayega. profile password change karne ke liye neeche bataye gaye steps ko dekhiye or iski madam se aap apna profile password change kar payege.

Steps 1 : Sabse pahle aapko apne account ko login karna hoga login karne ke liye aapko SBI ki Official website me jana hoga jaha par aapko kuch is trah ka page dikhai dega kso jaisa ki Bank bhi aapko hamesa batata hai ki aapko kewal official website par hi login karna chahiye or ek baar url ko check jarur kariye ki kya wah sahi url hai ya nahi or usme SSL Certificate hai ya nahi

Step 2 : is login page me aapko apna username or password(Login) dalna hoga .jaise hi aap apne sbi internet banking me login ho jate hai aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega. Step 3 : jaise hi aap is page me aate hai aapko Left side me bahut sare options dikhai dege jisme se aapko Profile wale section par mouse ko le jana hai ya us par click karna hai jaise hi aap yah karege aapke saamne kuch is trah ke option dikhai dege

Profile > Change Passwords >Step 4: jaise hi aap Change Passwords par Click karte hai aapke saamne ek or window dikhai degi jisme apake saamne apka Login password or Profile password change karne ka option dikhai dega, jisme se aapko Profile Password me Click karna hoga. or yaha par aapse apka Profile password manga jayega to aapko yaha par aapko apna current profile password dalna hoga jo abhi aap profile password use kar rahe the.

Step 5 : jaise hi aap apna sbi profile password purana wala enter karte hai aapke saamne ek or page dikhai dega jisme sabse upar aapko apna purana profile password dalna hoga or jo bhi aap apna naya profile password banana chahte hai use aapko neeche do baar dalna hoga or Submit ke button par click karna hoga.aapko apne password ke liye sbi profile password pattern ko follow karna hoga jisme aapko apne password me ek word Captial or ek symbol or numaric character hona jaruri hai

yah bhi padhe : – Instagram follower badhane ke tarike

Step 6 : jaise hi aap yah kar lete hai to aapke saamne kuch is trah ka page dikhai dega jisme aapko successful ka message or date or time dikahi dega.

yadi aapke man me abhi bhi koi question hai to aap neeche comment kar sakte hai ya fir aap mujhe seedhe Instagram me message karke bhi pooch sakte hai.mera username hai @brajeshsingraul yadi aapne abhi tak follow nahi kiya to please kar lijiye.

Rate this post
0 Shares

Leave a Comment